Khauf e khuda - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Khauf e khuda

KHAUF E KHUDA

ALLAH TA'ALA SE DARNE WALE KE TAMAM GUNAH JADH JATA HAI'N 

Mahboob e khuda , mustafa jaan e rahmat sallallahu alaihi wasallam ne farmaya 

Hadees shareef : jab bande ka jism KHAUFE khuda se kampta hai to uske gunah us ke badan se aise jhadte hain jaise darakht ko hilane se us ke patte jhadte hain 

Ref{ at targhib wat tarhib , jild , 4 , page: 117 , ah yauloolum , jild, 4 , page : 142 , makashefatul qoloob , page: 5 )

Hadees shareef : Hazrat anas razi Allah anho se riwayat hai ke hamare piyare Aaqa mustafa kareem sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala farmaye ga : Dozakh se us shakhs ko nikal do jis ne ek din bhi mujhe yaad kiya ya mere khauf se kahin bhi mujh se dara 

Ref{ Tirmizi, jild , 4 , page : 712 , Hakim mustadrak , jild , 1 , page: 141 , Baihaqi jild , 1 , page: 201 

Rone wali Aankh Aag se Mahfooz hai 

Hadees shareef : Hazrat abdullah bin abbas razi Allah anhuma bayan karte hain ke mai ne mere Aaqa sallallahu alaihi wasallam ko farmate hue suna 2 Aankhon ko Aag nahi chhoye gi 1 wah Aankh jo Allah ki khuf se royi aur 2 wah Aankh jis ne ALLAH TA'ALA ki raah me pahra de kar raat ghuzari 

Ref { Tirmizi, jild , 4 , page: 92 , Hakim mustadrak , jild , 2 , page: 92 , at taghib wat tarhib , jild , 2 , page: 152 }

Allah Ta'ala sab momino ko rone wali Aankh ata farmaye aur hamesha  KHAUFE khuda me zindagi guzarne ki taufiq ata farmaye 

Aameen Summa Aameen

next post insha Allah soon

plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com


No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.