Eid Milad Un Nabi Manane Ka Saboot Qur'an O Hadees Ki Roshni Mein - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Eid Milad Un Nabi Manane Ka Saboot Qur'an O Hadees Ki Roshni Mein

Barkaat e Milad un Nabi sallallahu ta'ala alaihi wasallam 


Aye Imaam walon ! Zikre milad shareef se rahmat wa barkat ka nozol hota hai aur jis makan wa jagha me mahfil e Milad shareef Hoti hai wah makan wa jagha anwaar WA barkaat ka gahwaarah ban jate hain - aur Milad shareef par khushi ka izhaar Karne se dunya wa Aakhrat ke gham wa mosibat se Aazadi milti hai aur jannat e Naeem ka haqdaar bhi bana diya jata hai - 

MOHADDIS IMAAM IBNE JAUZI KA QAUL 


Hamesha Makkah mo'azzamah , madinah manawwar , Misr , Shaam , yaman , garaz mashriq se maghrib tak Arab ke tamam bashinde Milad un nabi sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki mahfilen qayem karte hue Aaye hain - jab rabiul awwal ka Chand dekhta to unke khushi ki inteha nahi rahti - ویھتمون اھتماما بلیغا علی السماع والقراءة لمولد النبی صلی الله تعالیٰ علیہ وسلم  و ینالون بذالک اجرا جزیلا و فوزا عظیما 
Ref ( AL miladun nabwi , page :58 )

Aur zikre milad shareef padhne aur sunne ka khususi ihtimaam karte hain aur be'panah ajr wa kamyaab hasil karte hain 

MOHADDIS IMAAM  IBNE JAUZI KA DUSRA QAUL 


من خواصہ انہ امان فی ذالک العام و بشری عاجلة بنیل البغیة والمرام 

Uni Milad shareef ki barkaton me se ye hai ke saal Bhar Aman Rahe ga aur muraden Puri hone ki Khush khabri hai - 

Ref ( sirat e nabwi , page :45 )

IMAAM SHAMSUDDIN ASKHAWI KA QAUL 


Jalilul qadr mohaddis hazrat mulla Ali Qari rahmatullahi alaih tahreer farmate hain ke hamesha ahle Islam maah e Milad shareef ki Raton me tarah tarah ke sadqaat wa khairaat karte hain aur khushyon ka izhaar karte hain aur kasrat se nekiyan Kerte  hain jis ke sabab be'shumar barkaten Allah ta'ala ke azeem fazl ki shakal me zahir Hoti hain - انہ امان تام فی ذالک العام و بشری تعجل بنیل ما ینبغی و یرام 

Yani beshak us pure saal Aman hi Aman Rahe ga aur muraden Puri hone ki basharat bahut jald hasil hogi - 

Ref ( AL murudur rawi Fi mauludun nabi , page :12 , sobalul Huda war rishaad , jild , 1 , page :362 

Hazraat ! Jalilul qadr A'imma ikraam wa mohaddeseen e izaam ke aqwaal wa bayanaat se roze raushan se ziyadah zahir wa sabit hua ke zikre milad shareef kaar e khair aur Mubarak wa mahboob Amal hai -

MILAD SHAREEF KI BARKAT SE SOWAIBAH KI AZAADI


Aaqaye kayenaat rahmat e Aalam sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki weladat huee to Aap ke chacha Abu lahab ko us ki kaneez sowaibah me Aakar bataya , mere Aaqa Aap ke marhoom Bhai Abdullah Razi Allah anho ke Ghar bahut hi haseen wa jameel farzand paidah hua hai - Abu lahab is Khabar ko sun kar is qadar khush hua ke sowaibah ko Aazad kar diya -

Hazraat ! Sab musalman jante hain ke Abu lahab be Aaqaye kayenaat Rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ki nabuwat ko tasleem nahi kiya tha balke us laeen ne apni sari Zindagi Aap sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki dushmani me sarf kar di thi - aisa sakht kafir ke Quran majeed me puri surah us ki muzammat me utri bawajood uske Huzoor rahmat e Aalam sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki milad shareef ki khushi Karne ka Jo faidah us ko hasil hua mulahizah farmaye -
فلما مات ابو لہب اریہ بعض اھلہ بشر ھیئة قال لہ ماذا لقیت  قال ابو لہب لم الق بعدکم خیرا غیرا انی سقیت فی ھذہ بعتاقتی ثویبہ

Yani jab Abu lahab Mara to uske baaz Ghar walon ne us ko khawab me bahut Bure haal me dekha , puchha : kiya guzri ? Abu lahab ne kaha : Tum se alag ho kar mujhe Koi bhalai nahi Mili Haan mujhe us kalme ki ungi se Pani milta. Hai JIS se mere azaab me takhfeef ho jati hai is liye ke Maine us ungli ke ishare se sowaibah ko Aazad kiya tha

Ref ( Bukhari shareef , jild , 2 , page :764 )


♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Download App  http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen









No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.