SEERAT E GHOUS E AZAM - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

SEERAT E GHOUS E AZAM


SEERAT E GHOUS E AZAM



PART:-18

Azmat Aur Buzurgi Ka Raz 


Shaikh Muhammad Qaidul-Awani Alaihirrahma bayan kartey hain ki maine aapse ek dafa kaee batein poochi aur un mein se aapki Buzurgi aur Azmat k daro madar k muta'alliq bhi poocha tou aapne irshad farmaya "Sacchaee meri Shan w shaukat aur Azmat ka daro madar hai" maine  kabhi jhoot nahin bola hatta ki Maktab mein padhne k dauran bhi kabhi kizb bayan se kam nahi liya...

Ref ( Qalaidul-jawahir Safah . 8 )

Laqab Muheeyuddin Ki Wajhe Tasmiya 


Sarkar E Saiyyadana Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu se kisi ne aapke laqab muheeyuddin kee wajhe tasmiya k Muta'alliq poocha tou aapne irshad farmaya 511 hijri mein bahana pawn Bagdad Shareef kee taraf aa raha tha ki rasta mein mujhe ek beemar shakhs jo Naheeful-Badan mutagaiyar Rang tha mila usne mera naam lekar mujhe Salam kiya aur qareeb aane ko kaha jab main uske qareeb pahuncha tou usne mujhe sahara dene k liye kaha dekhte hee dekhtey uska jism sehatmand hone laga aur Rang w soorat mein tarotazgi nazar aane lagi

Main dekh kar Dara us ne mujh se poocha kya aap mujhe pahchantey hain?  
Maine la ilmi ka izhar kiya tou kahne laga ( Anaddeenu ) main dene islam hoon  "KUNTU QADIMTU W DASRATU FA'AHYANI ALLAHU TA'ALA BEKA BA'AD MAUTI"  main qareebul-Marg ho gaya hoon ki Allah ta'ala ne mujhe tumhari badaulat Az sare nau zinda kiya fir main usko chod kar jama Masjid mein aaya yaha'n par ek shakhs ne mujh se mulaqat kee aur mere jootey ko pakad liya aur mujhe Ya Saiyyadi Muheeyuddin kah kar pukara fir jab main Namaz padhne laga tou Charon taraf se log aakar "Yuqbbeloona"  yadi mere hath ko choomne lage aur Ya Muheeyuddin kah kar Pukarne lage us se pahle mujhe kabhi kisi ne is laqab se na pukara tha. .

Ref ( Qalaidul-jawahir Safah . 57 , Nafkhatul-uns , Safah . 260 , Bahajatul-Asraar safah , 54 , 55 ,  Khazeentul-Asfiya ,  jild 1 ,  safah , 94 ,  Nuzhatul-khatir Al-Fatir , Safah 51 Safeenatul-auliya Safah . 61 )

Chalees 40 Saal Isha K WUZU Se Fajr Ki Namaz Padhna 


Abul-Fatah Harvi Alaihirrahma bayan kartey Hain ki main Sarkar Gause Aazam Razi'allahu ta'ala anhu kee Khidmate Aqdas mein Chalees 40 saal tak raha aur is muddat mein maine aapko hamesha Isha k WUZU se subah kee Namaz padhte hue dekha...

Ref ( Bahajatul-Asraar safah , 59 , Qalaidul-jawahir , Safah 76 ,  Akhbarul-Akhiyaar , Safah 17 ,  Jame Karamatul-Auliya jild 4 ,  Shafa 201 , 203 , Nafkhatul-uns , Tabaqatul-kubra .Jild 1 , Safah 128 Mahafil Nama gyarahavi Shareef 29 )

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Download App  http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen








No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.