Ikhteyar E Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam
Ikhteyar E Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam
Hadees No 14
Hazrat Ans Razi'allahu ta'ala anhu se marwi hai ki Hazrat Jibraeel Aameen Alaihis'salam Huzoor kee khidmat mein hazir hue aur aap gamgeen the Ahle Makka ezaa rasaani kee wajah se aap ka jism lahoo luhan tha Hazrat Jibraeel Aameen ne kaha Ya Rasoolullah kya aap chahtey hain ki aap ko ek nishani dikhoon farmaya ha'n unhone aap ke peeche ek ped kee taraf dekha aur arz kya is ko bulaiye Huzoor ne bulaya wah ped aaya aur aap kee khidmat mein khada ho gaya arz kiya is ko hukm deejiye ki laut jaye aap ne hukm diya wah laut gaya Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne farmaya "mujhe kafee hai"
Ref ( Mishkat Babul Mojzat , Safah 541 )
☆ Yani Hazrat Jibraeel Aameen ne Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ko tawajjoh dilaee ki aap malool khatir na ho aap ko Allah ta'ala ne kayanate Aalam mein mutasarrif w Mukhtar banaya hai darakht bhi aap k ishare par chalte hain...
HADEES NO 15
Hazrat Jabir Razi'allahu Anho farmate hain ki hamne Huzoor k sath safar kiya aur wasee'a jangal mein thahare tou Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam qazaye hajat k liye tashreef le gaye tou Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ko koie cheez na Mili jis kee aad kare tou Huzoor ne jangal k kinare par do 2 darakht dekhe Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam in darakhton mein se ek k qareeb tashreef laye aur is kee shakhon mein se ek shakh pakad kar is se farmaya ki Allah k hukm se meri its'at kar , tou wah darakht Huzoor k sath aise chal diya jaise muhar wala oont apne chalane wale kee ita'at karta hai
Yaha'n tak ki aap doosre darakht k pas tashreef le gaye tou is kee shakhon mein se ek ko pakad kar farmaya Allah ta'ala k hukm se meri ita'at kar fir wah bhi isi tarah Huzoor k sath chala yaha'n tak ki jab aap dono'n k darmiyan mein hue tou farmaya Allah k hukm se mere liye ek doosre se mil jao tou wah darakht mil gaye Hazrat Jabir kahtey hai ki fir main baitha kuch sochne laga tou jab main ne tawajjuhaki tou dekh ki Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam tashreef la rahe hain aur wah dono'n darakht ek doosre se fir juda ho gaye hain aur apni jagah tanon par khade hain...
Ref ( Muslim shareef , Mishkat , Babul Mojzat , Safah . 533 )
☆ Is Hadees Shareef se khoob wajib ho gaya ki Huzoor ko Makhlookate ilahiya mein tasarroof ka haq hasil hai bhala sochiye darakhton jaisi be kaan Makhlooq ko pakad kar chalana fir dono'n ko qareeb karke aur mila kar in kee aad se Hazrat Rafa Farmana fir dono'n ko in kee jagah pahuncha dena yah sab kam umoor kayanat mein aap k khudadad ikhtiyarat ka pata de rahe hain ki aap jo chahe kare aap kee hukoomat har shay par hai....
For reading...JazakAllah Khaira
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
No comments