SEERAT E GHOUS E AZAM - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

SEERAT E GHOUS E AZAM


SEERAT E GHOUS E AZAM



PART:-26



Tahadeese Nemat K Taur Per Aapke Irshadaat Madarsa Aaliya Nizaamiya 


Huzoor Ghousussqlain Razi'allahu ta'ala anhu ka irshade girami hai 

TARJUMA : Jo Musalman Shakhs mere Madarsa k kisi darwaze se bhi guzarega tou qyamat k din usko Azaab mein takhfeef hogi..

Ref ( Tabaqatul-kubra jild , 1 , Safah 127 , Bahajatul-Asraar safah , 101 , satar , 11 , 12 Qalaidul-jawahir Safah . 15 Tohafa Qadariya , Safah . 44 Nuzhatul-khatir Al-Fatir , Safah 77 )



Azaabe Qabr Mein Takhfeef :


Ek roz Bagdad Shareef ka ek Aadami hazire khidmat ho kar arz karne laga Huzoore Wala!  mere Walid ka Intiqaal ho gaya hai maine unko khwaab mein dekha hai ki wah mujhe kah rahe hain ki main Azaabe Qabr mein mubtala Hoon tum Huzoor Mahboobe Subahani Shaikh Abdul-Qadir Jeelani Razi'allahu ta'ala anhu kee khidmat mein mere lie Duaen Khair farmane k liye arz karo aapne irshad farmaya ki tumhara walid mere madarsa k darwaza se kabhi guzara tha? 

Tou usne arz kiya , banda nawaz ! jee haa'n aap yah sun kar khamosh ho gaye doosre Roz fir wahi shakhs hazir ho kar arz karne laga Gareeb Nawaz ! Aaj Maine apne walid ko khwab mein dekha hai ki wah khush w khurram hain aur Sabz libaas zebatan hain aur mujhe kaha ki ab mujh se Shaikh Abdul-Qadir Razi'allahu ta'ala anhu kee dua kee barkat se Azaab door kar diya gaya hai aur mujhe Naseehat kee ki tum unki khidmate aqdas mein haziri detey raha karo

AAP YAH SUN KAR IRSHAAD FARMAYA :

TARJAMA : Beshak Mere Rabbe Kareem Az'wazal ne mujh se wada farmaya hai ki jo Musalman mere Madarsa k Darwaze se guzarega main uske Azaab mein takhfeef kar doonga...

Ref ( Bahajatul-Asraar safah , 101 , Satar , 12 , ta 16 , Qalaidul-jawahir , Safah 15 , Satar 12 ta 17 ,  Safeenatul-auliya Safah . 70 , Tohafa Qadariya , Safah . 44 )

☆ Aurangzeb Aalamgeer Alaihirrehma k bhaee Dara shikoh Qadari Alaihirrehma tahreer farmate hain ki Ghosussaqlain Razi'allahu ta'ala anhu ne farmaya hai ki jis kisi ko mere Halq-E-Dars mein shamooliyat ka ittifaaq hua hai ya jis ne meri ziyarat kee hai tou qabr k fishaar aur qayamat k Azaab mein uske liye kami kar dee jayegi.

Ref ( Safeenatul-auliya Safah . 70 )

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏

Plz share to others also

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com

Download App http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen


No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.