BIDAT KYA HAI
BID'AT KYA HAI
Post:-05
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡Urs Ka Din Khaas Kyun Kiya Jaata hai?
Imaam Ahle Sunnat Imam Ahmed Raza Khan Muhaddise Bareily Alaihirrehma se poochha gaya ke Buzurgaan-E-Din ke Aa'araas ( Urs ) Ta'ayyun ( yani Urs ka din muqarrar karne ) mein bhi koi Maslahat hai?
Aap ne jawaaban irshad farmaya : Ha'n Auliya-E-Kiraam ki Arwaah-E-Tayyiba ko un ke wisaal ke din quboor-E-Kareema ki taraf tawajjeh ziyaada hoti hai chunanche woh waqt jo khaas wisaal ka hai, akhaze Barkaat ( Barkaat lene ) k liye ziyaada munasib hota hai...
Ref ( Malfoozaat Shareef , page :383 , Matabu'a Maktabatul Madina karachi )
Urs Mein Aatish Baazi Aur Niyaaz Ka Khaana Lutaana Haraam hai
SAWAL: Buzurgan-E-Deen ke Urs mein shab ko Aatish Baazi jaalana aur raushani ba-kasrat karna bila haajat aur jo Khaana bagarz-E-Esaale Sawaab pakaaya gaya ho, is ko Lutaana ke jo lootne walo'n ke pairo'n mein Kayi Mann Kharaab hokar mitti mein mil gaya ho , is fe'al ( kaam ) ko baaniyaane Urs mojibe fakhr aur baa'ise Barkat qiyaas kartey Hain. Shari'at Aali mein is ka kya hukm hai?
JAWAB: Aatish Baazi israaf hai aur israaf Haraam hai, Khaane ka aisa Lutaana Be-Adbi hai aur Be-Adbi mehroomi hai, tazee' maal ( maal barbad karna ) hai aur tazee' haraam . Raushni agar masaaleh Shari'ah se khaali ho to woh bhi israaf hai...
Ref ( Fatawa Razviya jadeed , jild :24 , gage 112 )
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
Plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen
No comments