Khauf e khuda
KHAUF E KHUDA
khauf e khuda ki barkat se ghunahgar jannat ka haqdar ho gaya
Hazraat ! Aalim e rabbani hujjatul islam imaam mohammad ghazali razi Allah anho bani israeel ka ek waqiyah naqal farmate hain ke
Bani israeel ki ek aurat ne aflaas w tangdasti se parishan ho kar ek tajir ke ghar ja kar khane ka sawal kiya , Tajir ne kaha ;
Agar tum meri Aarzu puri kar do to jo chaho mujh se le sakti ho - aurat bechari chup chap khali hath ghar laut Aaee aur jab bachchon ka bhook se rona bilakna dekha to wah aurat 2barah usi tajir ke paas laut gaee aur khane ka sawal kiya
Tajir ne phir wahi baat ki jo pahle kah chuka tha -
Aurat raza mand ho gaee magar jab ye dono tanhaee me pahunche to aurat khaufe khuda se kampne lagi -
Tajir ne puchha , kis se darti ho ?
Us aurat ne kaha : rab ta'ala ke khauf se ladza hun jis ne hamen paidah kiya - to tajir ne kaha ke jab tum itni mohtaji aur tangdasti me bhi khuda e ta'ala se darti ho to mujhe bhi Allah ta'ala se darna chahiye -
Ye kaha aur aurat ko bahut sa maal w manaal de kar izzat ke sath rokhsat kiya -
Allah ta'ala ne Hazrat musa alaihis salam par wahi bheji ke falan bin falan ke paas jao aur use mera salam kah do aur kahna ke maine us ke tamam ghunahon ko ma'af kar diya hai Hazrat musa alaihis salam Allah ta'ala ke hukm se us tajir ke paas Aaye aur us se puchh ke tum ne kon se aisi neki ki hai ? Jis ki wajha se Allah ta'ala ne tumhare tamam ghunahon ko ma'af kar diya
Ref ( Makashefa tal qoloob , page :8 }
Next post insha Allah soon
Next post insha Allah soon
Plz share to others also
No comments