Gaib ki baton par iman - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Gaib ki baton par iman


GAIB KI BATON PAR IMAN:

Allah ta'ala ka irsaad hai'n: accha fir yah tou batao ki zameen men jo beej tum daltey ho use tum ugate ho, ya hum uske ugane wale hai'n?

Ref { Surah Waqi'a 63-64 }

Allah ta'ala ka irsaad hai'n: accha fir yah tou batao ki jo paani tum peete ho, usko badalo se tum ne barsaya ya hum uske barsane wale hai'n agar hum chahe tou us paani ko kadwa kar de tum kiyon shukr nahi kartey?
Acha fir yah tou batao ki jis aag ko tum sulgate ho, uske khas darakht ko "aur isee tarah jin zariyo'n se yah aag paida hoti hai'n, unko" tumne paida kiya ya hum uske paida karne wale hai'n.

Ref { Surah Waqi'a: 68-72 }

Allah ta'ala ka irsaad hai'n:
Beshak Allah ta'ala beez aur guthali ko fadne wala hai wahi jandar ko bejaan se nikslta hai'n sur wahi bejaan ko jandar se nikalta hai'n wahi to Allah hai jinki aisi qudrat hai, fir tum Allah ta'ala ko chodkar kaha uske gair kee taraf chale ja rahe ho?
Wahi Allah subah ko raat se nikalne wala hai aur usne raat ko aaram ke liye banaya aur usne sooraj aur chand kee raftaar ko hisaab se rakha, sur unki raftaar ka hisaab aisi zaat kee taraf se muqarrar hai jo badi qudrat aur bade ilm wale hai aur usne tumhare fayade ke liye sitare banaye hai'n taki tum unke zariye se raat ke andheron me khushki aur dariya me rasta maloom kar sako aur hamne ye nishaniyan khoob khol-khol kar byaan kar dee un logo ke liye jo bhale aur bure kee samajh rakhtey hai aur Allah ta'ala wahi hai jinhone tum ko asl ke Aitibar se aik hee insaan se paida kiya, fir kuch arsa ke liye tumhara thikana zameen hai

Fir tumhe qabr ke hawale kar diya jata hai beshak hamne ye daleele bhi khol kar byaan kar dee un logo ke liye jo soojh-boojh rakhtey hai aur wahi Allah ta'ala hai jinhone aasmaan se paani utara aur aik hee paani se mukhlif qism ke nabatat ko zameen se nikala fir hane usse sabz kheti nikali fir us kheti se hum aise dane nikalte  hai jo oopar tale hotey hai aur khajoor kee shakho me se aise guchchhe nikalta hai jo fal ke bojh kee wajah se jhuke hue hotey hai aur fir usi aik paani se angoor ke baag aur zaitoon aur anaar ke darakht pAida kia jinke fal rang soorat zaika me aik doosre se milte julte bhi hai aur baaz aik doosre se nahi bhi miltey zara har aik fal me gaur karo, jab wah fal lata hai ki bilkul kaccha aur badmaza aur fir uske pakne me bhi gaur karo ki us waqt tamam sifat me kamil hota hai beshak yaqeen walo ke liye un cheezo me badi nishaniyan hai

Ref { Surah An'aam : 95-99 }

Next post insha Allah soon

Plz share to others also

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.