Shane ala hazrat - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Shane ala hazrat

Mojaddide Aazam imaam Ahmad raza ki Aamad

Aise fitno aur paragandah mahaul me Allah ta'ala le fazl w karam se rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ka mojazah aur sarkar gaus e Aazam razi Allah anho ki karamat ban kar imaan w islam ke tahaffuz ke liye imaam Ahmad rza barailwi razi Allah anho jalwah gar hue 

Allah ta'ala ki ata aur rasool Allah صلی الله علیہ وسلم ki inayat aur ghuse Aazam razi Allah anho ki nazre welayat se aur apne murshid e Aazam ki duaon se Aala hazrat imaam Ahmad raza fazil e barailwi razi Allah anho ko 50 se ziyadah uloom w fonoon par kamil malkah hasil tha aur Aap ne imaan w islam aur musalmano ke sachche aqide ki hifazat ki khatir ek hazar se ziyadah taqriban 1400 kitaben tahreer farmaee hain 

کیوں رضا آج گلی سونی ہے
اٹھ میرے دھوم مچانے والے 


Aye imaam Ahmad raza ! Tumhari turbat par sham w sahar rahmat w anwaar ka sawan barse - tumhari qalam ki roshnaee ne shahidon ke lahu ki tarah bage islam ko hara bhara bana diya - tumne badAqidon ke Aandhiyon ke moqable me ishaque ka charag jalaya aur zzindagi ka lamha lamha islam w imaan ki baqa ke liye sarf kar diya - 

Aye Ahle sunnat ke mohsin 

Tumne haq w batil ke darmayan itni wazeh aur zahir lakir na khich di hoti to Aaj badAqidgi aur gumrahi ke umadte hue khatarnak sailab me momino aur musalmano ka kiya haal hai
Ref { Sawaneh Aala hazrat pg, 85 }

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.