Karamat e sahaba - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Karamat e sahaba


KARAMAT E SAHABA 

HAZRAT ABOO BAKR SIDDIQUE RAZI'ALLAHU TA'ALA ANHU

karamat

DUSHMAN" KHINZEER W BANDAR BAN GAE:

Hazrat imaam masgafri Rahmatullah Alaih ne bade raveeyo'n se naqal kiya hai'n ki ham log teen 3, aadmi ek sath yaman ja rahe they hamara ek sathi jo koofee tha wah hazrat ABOO BAQR SIDDIQUE w hazrat umar Razi'allahu kee shaan me bad zabani kar raha tha ham log us ko bar bar mana karte the magar wah apni is harkat se baaz nahi aata tha jab ham log yaman ke qareeb paunch gae aur ham ne us ko namaz e farz ke liye jagaya to wah kahne laga ki maine abhi yah khawab dekha hain ki "Sallallahu Alaihi wassalam " mere sirhane tashreef farma hue aur mujh se farmaya ki "Ae fasiq! khuda wande ta'ala ne tujhko zaleel w khawar farma diya aur tera usi tarah me chehra badal diya jayega" us ke baad fauran hee us ke dono'n pawn Bandar jaise ho gae aur thodi der me us ki soorat bilkul hee Bandar jaisI ho gaie

Ham logon ne namaze fazr ke baad us ko pakad kar oont ke palaan ke oopar rassiyo'n se jakad kar bandh diya aur waha'n se rawana hue sooraj doobne ke waqt jab ham ek jangal me paunche to kuch Bandar waha'n jama they jab us ne bandaro'n ke jhund ko dekha to rassee tod kar oont ke palan se kood padha aur bandaro'n ke jhund me shamil ho gaya ham log hairaan ho kar thodi der waha'n thahar gae taki ham yah dekh sake ki Bandar ka jhund us ke sath kis tarah pesh aata hain to ham ne yah dekha ki yah bandaron ke pass batha hua ham logon ki taraf badi afsos se dekhta tha aur us ki Aankhon se Aansuon jaari they thodi bhar ke baad jab sab Bandar wahan se doosri taraf Jane lage to yah bhi Un bandaron ke sath chal gaya..

Ref ( Shawahidunnbuwa safa  153 )
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

 Muhabbat e rasool

Open this link🖕

next post insha Allah soon

plz share to others also

www.zikr-e-nabi.com


No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.