Gaib ki baton par iman - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Gaib ki baton par iman

GAIB KI BATON PAR IMAN 

 Allah ta'ala ka irshad Hain:
Us zaat paak kee khoobiyan is kasrat se Hain ki agar jitne darakht Zameen bhar me Hain unse qalam taiyar kie jae aur ye samundar Hain unko aur inke alawa mazeed saat samundar ko un qalmon ke liye bataur syaahi ke istemal kiya jae aur fir un qalmon aur syaahi se Allah ta'ala ke kamalat likhne shuroo kie jae to sab qalam aur syaahi khatm ho jae lekin Allah ta'ala ke kamalon ka byaan poora na hoga beshak Allah ta'ala zabardast aur hikmat wala  Hain 

Ref ( Surah : luqman ,27 )

Allah ta'ala ne Rasool Sallallahu Ta'ala Alaihi wassalam se irshad farmaya:
Aap farma deejie ki hmaen jo cheez bhi pesh aaegi wah Allah ta'ala ke hukm se hee pesh aayegi wahi hamare aaqa aur maula Hain ( lihaza is museebat me bhi hamare lie koie behtari hoga )

Ref ( Surah Tauba ;  51 )

Mast watch Maulana Talib Raza Importance of Namaz Benamazi ka hashr

Open this link  🖕🖕

Allah ta'ala ka irshad Hain:
Aur agar Allah ta'ala tumko koie takleef pahunche to unke siwa usko door Karne wala koie nahin Hain aur agar wah tum ko koie rahat pahunchana chahe tou unke fazl ko koie ferne wala nahin, balki wah apna fazl apne bandon me se jisko chahta Hain pahunchata Hain wah badi magfirat karne wala aur nihayat meharban Hain

Ref ( Surah Yoonus : 107 )
~~~~~~~~~~~~~~~~~~

next post inshaAllah soon

plz share to others also

www.zikr-e-nabi.com

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.