Shane ala hazrat - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Shane ala hazrat


SHANE ALA HAZRAT 

Aala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho ke bachpane ke halaat 


Aala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho bachpane hi me taqwa , taharat , ittebaye sunnat , pakizah akhlaq aur husne sirat ke ausaaf se mozayyan ho chuke the - 

Aala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho ne apne ustaad ko Salam sikhaya 

Aala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho ke bachpane ke zamana me Jo Maulana Sahab Aap ko padhaya karte the , ek din bachchon ne unko Salam kiya to Maulana Sahab ne jawab diya , jite raho , uspar Aala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho ne maulwi Sahab se farmaya ye to Salam ka jawab Na hua , wa alaikum assalam kahna chahiye tha - maulwi Sahab sun kar bahut Khush hue aur Aap ko bahut duayen din 

Ref( Sawaneh Aala hazrat , page:110 )

Aala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho ka adab 

Aala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho ne 6 baras ki hi umr shareef me maloom kar liya tha bagdaad shareef kidhar hai - phir us waqt se Dame Aakhir tak kabhi bhi bagdaad ki janib paun nahi pahlaya 

Ref ( Sawaneh Aala hazrat , page :110 )

Aala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho ko majzoob buzurg bhi izzat dete the 

Aala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho ke bachpane ka waqiyah hai ke baraili shareef ki ek masjid me majzoob buzurg Hazrat bashiruddin rahmatullah ta'ala alaih Raha karte the , Jo unke paas Milne jata bura bhala kahte - Aala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho ko molaqat ka shauq paida hua , ek din unke paas chale gaye aur jakar pharsh par baith gaye wah majzoob buzurg Hazrat bashiruddin rahmatullah ta'ala alaih 15,20 minat tak to gaur se dekhte Rahe phir wah mast majzoob buzurg Hazrat bashiruddin rahmatullah ta'ala alaih Aap se mokhatab hue aur kahne lage tum raza Ali Khan Razi Allah anho ke kaun ho ? Aala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho ne farmaya mai unka pota Hun - ye sunkar unhon ne farmaya , jabhi , phir fauran Uthe aur charpaee ki taraf ishrah kar ke farmaya : yahan tashreef rakhye 

Ref ( Hayaat e Aala hazrat , page :23 )

Hazraat : din w sunniyat ki hifazat w pasbani ki Jo rawayaat Aap ki baat se wabastah hain unka Aaghaz bhi bachpane hi se ho chuka tha jabhi to ek mast w majzoob buzurg Hazrat bashiruddin rahmatullah ta'ala alaih Aala hazrat mojaddid e Aazam Imaam Ahmad raza fazil e barailwi Razi Allah anho ki izzat w qadr karte hue zameen se Utah kar charpaee ke upar baithate Nazar Aarahe hain -


 OPEN THIS LINK👉  Very Beautiful Naat Sharif by Asif babu


♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

  

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.