Gaib ki baton par iman - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Gaib ki baton par iman


GAIB KI BATON PAR IMAN 

Hazrat ubaee bin kaab Razi'allahu ta'ala anhu riwayat farmatey hain ki ek martaba mushrekeen ne Nabi-e-Kareem Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam se kaha : Ae Muhammad ! hame apne parwardigar ka nasab to batlaie , is par Allah ta'ala ne yah surah: ( Surah ikhlas ) nazil farmaya  jiska Tarjama yah hai:

TARJAMA:-Aap kah deejie ki wah yani Allah ta'ala ek hain , Allah ta'ala beniyaaz hai, uski aulad nahin aur na wah kisi kee aulad hai aur na koie uske barabar ka hain 

Ref ( Musnad Ahmad  )

Hazrat Aboo hurairah Razi'allahu ta'ala anhu se riwayat hain ki Nabi-e-Kareem Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ek hadeese qudasi me apne rab ka yah irshad mubarak naqal farmatey hain : Aadam Alaihis'salam ke betey ne mujhe jhutlaya ,  halaki yah uske liye munasib nahin tha aur mujhe Bura bhala kaha, halanki use is ka haq nahi tha uska mujhe jhuthlana yah hai ki wah kahata hai mai use dobara zinda nahin kar sakta jaisa ki maine pahli martaba paida kiya tha aur uska Bura bhala kahna yah hai ki wah kahta hai maine kisi ko apna beta bana liya hai, halanki mai beniyaaz hoon na mera koie aulad hain na mai kisi kee Aulaad hoon aur na koie mere barabar ka hain 

Ref ( Bukhari )

Hazrat Aboo hurairah Razi'allahu ta'ala anhu farmatey hain ki maine Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ko yah irshad farmatey hue suna: log hamesha ( Allah ta'ala ki zaat ke bare me ) ek doosre se poochtey rahenge ,  yahan tak ki yah kaha jayega ki Allah ta'ala ne sari makhlooq ko paida kiya hai, ( lekin ) Allah ta'ala ko kis ne paida kiya? ( Naoojubillah ) jab log yah baat kahe to tum ye kalimat kaho:

Allahu Ahad Allahussamad lam yalid walam yoolad walam yakullahoo kufuwan ahad° 

TARJAMA:- Allah ta'ala ek hain ,  Allah ta'ala kisi ke muhtaj nahin, sab unke muhtaj hain ,  na Allah ta'ala kee koie aulad hai, na wah kisi kee aulad hai aur na koie Allah ta'ala ka hamsar hai.

Fir apne bae janib teen 3 martaba thutkar de aur Allah Az'wazal se shaitaan mardood kee panah mange..

Ref ( Abu daoowd ,  Mishkatul Masabeeh  )



♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

  

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.