Abu bakr siddique radi allahu anhu - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Abu bakr siddique radi allahu anhu

SEERAT E HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQUE RAZI'ALLAHU TA'ALA ANHU 

POST :-02

KANBOOL-E-ISLAM

Hazrat Abu bakar siddique Razi'allahu ta'ala anhu Nabi-e-Kareem Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ke khas Doston mein se they aap Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam kee sadaqat aur rastagoee se is kadar parbhavit they ki jab Huzoor sallallahu ta'ala alaihi wasallam ne aapko islam kee dawat dee tou aapne kisi Daleel aur suboot ke bagair fauran islam qabool kar liya aur deen-e-islam kee tableeg mein madad ka wada kiya Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne ek mauqa par farmaya tha,

"Maine sabse pahle jis shakhs ko bhi islam kee dawat dee, usne thoda bahut ta'mamul ( soch-vichar ) aur tawakkuf zaroor kiya lekin abu bakar siddique Razi'allahu ta'ala anhu hain ki dawate islam ke baad bagair kisi Daleel w suboot ke mujhpar iman lae aur mere musddiq ( tasdeeq karne wale ) bane"

Ref ( Shawahid-e-nubuwwatpage , 258 )

Aap ne musalman hone ke baad islam kee tableeg shuru kee aur hazrat usmaan gani Razi'allahu ta'ala anhu jaise daulatmand ,  Hazrat sa'ad bin waqqas Razi'allahu ta'ala anhu jaise ba'asar, hazrat Abu ubaid Razi'allahu ta'ala anhu jaise mudabbir , hazrat Talha Razi'allahu ta'ala anhu jaise bahadur aur hazrat sa'ad Razi'allahu ta'ala anhu Bin zaid Razi'allahu ta'ala anhu jaise mehaman nawaz logon ko halqa-e-Islam mein shamil kiya 

Choonki aap Razi'allahu ta'ala anhu ka bahut zyaada asar w roosookh tha aur aap Razi'allahu ta'ala anhu ke dost w ahbaab aapki duroost ray aur pukhta khayali  ke qayal they, isliye we aapko kahne hee se musalman ho gae aap Razi'allahu ta'ala anhu ne Hazrat Bilaal Habashi Razi'allahu ta'ala anhu ,  Hazrat Aamir Razi'allahu ta'ala anhu aur kaee doosre gulamon ,  laundiyon ko jin par kuffar aur mushrik unke musalman hone ke badle mein rozana Julm w sitam karte they, unke malikon se bhari rooqam par khareed kar aazaad kar diya 

Aapka sabr w istqamat is darja zyada tha ki museebaton aur takleefon kee parwa na kartey they ek martaba Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne farmaya ki Nabi ke siwa aur kisi par jo abu bakar se behtar ho, Aaftab tuloo nahi'n hua...

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen







No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.