Seerat ul anbiya
SEERAT UL ANBIYA
Hazrat ishaq Alaihis'salam
Ek din hazrat jibraeel alaihis salam aur kaie farishte khoobsoorat jawanon kee shakl mein hazrat ibraheem Alaihis'salam ke ghar aaye hazrat ibraheem Alaihis'salam ne samjha yah aadmi hain daudkar ghar mein gaye aur khilane ke liye bhuna hua bachda le aae aur khane par israr kiya farishton ne ek luqma bhi nahi'n khaya us zamane ka dastoor tha ki jab koie aadmi kisi ko marna ya takleef pahunchana chahta tou wah uske ghar ka khana na khata hazrat ibraheem Alaihis'salam ghabraye hazrat ibraheem Alaihis'salam ka chehra udas dekhkar farishton ne kaha 'hum tumhara khana isliye nahin kha rahe hai ki hum farishte hain farishton ko khane-peene se kiya garaz hai'
Fir farishton ne kaha ki hum asal mein looth kee qaum ko azaab dene aaye hain aur tumhe is baat kee khuskhabri dene aae hain ki khuda tumhe do bete ata farmayega ek ka naam ishaq aur doosre ka ( jo ishaq se hoga ) Yaqoob hoga hazrat sara jo sun rahi thin tajjub se boli, "yah mamla ajeeb hai bhala mere aulad kaise hogi jabki main banjh hoon aur mera shauhar bodha hai"
Farishton ne kaha, "jo khuda-e-qadir bagair Maa-Baap ke aadam ko paida kar sakta hai uske liye kiya mushkil hai ki wah banjh aur bodha mard se aulaad paida Kare chunanche khuda ne aapko hazrat ishaq jaisa beta ata farmaya us waqt hazrat ibraheem Alaihis'salam kee umr 100, saal ki thi aur hazrat saara ki umr 100, saal se kuch kam
Hazrat ibraheem Alaihis'salam ne khush hokar farmaya
'Tarjuma:- us khuda ka shukr hai jisne mujhe budhape mein ismaeel aur ishaaq diya...
Ref ( Qanssul Anbiya , page, 64,65 )
♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
For reading...JazakAllah Khaira
♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
www.zikr-e-rasool.com
No comments