Hadees e pak - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Hadees e pak


HADEES E PAK 

NAMAZ MEIN DAHINE PAIR KA ANGOOTHA SARAKNE KA MAS'ALA

Aamtaur se dehaton mein is ko bahut bura jante hain yahan tak ki namaz mein dahine pair ka angootha agar thoda bahut sarak jae tou namaz na hone ka fatwa laga detey hain 

Kuch log is angoothe ko namaz kee kilya ya khoonta kahte bhi sune gae hain yah sab jahilana baten hain kisi bhi pair ka angootha sarak jane se namaz mein koie kharabi nahin aatI haa'n Bila wajah namaz mein janbujh kar koie harkat karna khwah jism ke kisi hisse se ho galat wa makrooh hai 

Hazrat Allama mufti jalaludeen sahab Qibla amajadi farmate hain:

Dahine pair ka angootha apni jagah se hat gaya tou koie harj nahi'n ha'n muqtadi ka angootha dahine ya bayen ya aage ya peeche itna hata ki jis se saf mein kushadagi paida ho ya seena saf se bahar nikale tou makrooh hai...

Ref ( Fatawa Faizurrasool, jild 1, safah 370 )

KHULASA yah ki awaam mein jo mashahoor hai ki namaz mein dahine pair ka angootha agar apni jagah se thoda sa bhi sarak jae tou namaz nahin hoti, yah unki jahalat aur galatfahami hai.


♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen








No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.