Abu bakr siddique radi allahu anhu - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Abu bakr siddique radi allahu anhu


SEERAT E HAZRAT ABU BAKR SIDDIQUE RAZI'ALLAHU TA'ALA ANHU 

POST :-06

Siddique e Akbar Razi'allahu ta'ala anhu ke jamane mein fitna w fasaad aur jang


Hazrat Abu Bakr Siddique Razi'allahu ta'ala anhu ka Mukhtasar daure khilafat dar'asal islam aur Islami taleemat ke buniyad usoolon ko majboot se majboot tar karne ka daur hai, Nuboowwat w khilafat kee hudood ko qayam karna aur unki taraf wazeh taurpar rahnumaee ka daur hai aapke daure khilafat mein kaee fitnon ne sar uthaya aur islam ke khilaf sazishe huee aap Razi'allahu ta'ala anhu ne har fitne aur sajish ka sabr w istiqalal ke sath muqabala kiya aur usko jad se ukhad fenka aapne jis muhim par bhi lashkare islam ko rawana farmaya aapki duaon aur Allah Az'wazal ke fazl w karam se usne apne maqsad mein kamyabi hasil kee 

Yaha'n hum aapke daur mein hone wale fitnon aur jangon ka haal baari-baari bayaan karenge 

Busra Par Hamla 


Huzoor Nabi-e-Kareem Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne 10 safar 11 hijri ko roomi esaaiyon ka muqabala karne ke liye Hazrat usaama Bin Zaid Razi'allahu ta'ala anhu kee qiyadat mein Busra kee taraf Islami lashkar kee rawangi ka hukm farmaya aur usi raat Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam beemar ho gae aap Sallallahu Alaihi Wasallam kee beemari ke sabab lashkar kee rawangi nahin ho saki thi 

Fir jab Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam kee wafat ke baad Hazrat Abu Bakr Siddique Razi'allahu ta'ala anhu musalmanon ke khaleefa bane tou unhone sabse pahle is lashkar ko mulke sham kee taraf roomi esaiyon ke muqable ke liye rawana karna chaha Sahaba-e-kiram Razi'allahu ta'ala anhu ne arz kiya ki aise najuk waqt mein jabki har taraf sirf aur irtidad ( murtadeen ka fitna ) ke shole bhatak rahe hain aur fitna pardaz madeena munawwara par Hamla karne wale hain, aap is lashkar ko Arab se door gair-mulk mein ladne ke liye na bheje yah lashkar madeena munawwara kee hifazat ke liye yahan maujood aur taiyaar rahna chahiye 

Hazrat Abu Bakr Siddique Razi'allahu ta'ala anhu bemisal kuwwate imaani ,  Himmat w bahadur aur ajoom w istiqalal ke paikar the aapne farmaya ,  "Jis lashkar ko Rasoolullah Sallallahu alaihi wasallam ne khud rawana farma diya tha, main us waqt bhi ise hargiz nahin rokoonga jab mujhe yah yaqeen ho jayega ki iski rawangi se madeena tabah ho jayega aur madeena ke musalaman barbad ho jayenge" aap Razi'allahu ta'ala anhu ke alfaz ka aasan matlab yah hai ki agar mujhe yah yaqeen ho jae ki is lashkar ke chale jane ke baad madeena par murtadeen Hamla karke madeena aur yahan ke Musalmaanon ko tabah w barbad kar denge tou fir bhi main is lashkar ko jihad par jane se nahi rokoonga jiski rawangi ka Allah ke Rasool Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam ne hukm farmaya tha goya aapke nazdeek Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ke shuroo kiye hue ek kaam ko takmeel tak pahanchana aur Nabi sallallahu ta'ala alaihi wasallam ke hukm par amal karna intihaee lazmi tha, chahe lashkar ke jane se madeena aur uske bashindon ka jitna zyada bhi nuqsaan hota...

Ref  ( Hazrat Abu Bakr Siddique Razi'allahu ta'ala anhu pg. 16,17 )


♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen








No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.