DEENI MALOOMAT - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

DEENI MALOOMAT




DEENI MALOOMAT



SAWAL NO:-01 Hazrat Mariyam Radi’ALLAHU Anha k Walid aur walida ka Naam kya hai?


SAWAL NO:-02 Hazrat Mariyam Radi’ALLAHU Anha k Nana aur Dada ka Naam kya hai?


SAWAL NO:-03 We Hazraat kitne aur kaun-kaun se hain jo Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam kee Viladat w izhare Nabuwwat se pahle aap par imaan lakar Musharraf Baislaam hue?


SAWAL NO:-04 Hazrat Umar Farooq Razi'allahu Anhu k islam lane k waqt tak kitne log islam k dayre mein dakhil ho chuke they?


SAWAL NO:-05 Hazrat Haleema Sadiya k baad Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam kee hifazat w dekh bhale k faraiz kisne Anjaam die?

AL JAWAB 


JAWAB NO 01 Aap k Walid ka Naam imraan aur walida Sahiba ka Naam Hina hai.


Ref ( Khazainul Irfan, 3/12 )


JAWAB NO 02 Aap k Dada Mohataram ka Naam Masaan aur Nana Jaan ka Naam Faqooza hai.

☆ Doosri Riwayat k mutabiq aapke Dada Mohataram ka Naam Yasham hai.

Ref  ( Khazainul Irfan, 3/12 )


JAWAB NO 03 Aise Khush naseeb Afrad kee jo tadad hame mili wah yeh hai

(1) Taba Hameeri Shaam yaman ( Asad Abu kareeb yamani ) 

(2) Habeeb ibne Najjar,

(3) Zaid Bin Amaroo Mawahid jahilya 

☆Ye we Hazraat hain jo Viladat se pahle sirf aapke awasaaf sunkar iman lae 


Ref ( Tafseer Alam Nashrah, 60 )

Ref ( Hashiya 12 , Jalalain 369 )

(4) Warqa Bin nofal 
(5) Buhaira Rahib 

☆ Ye do 2 we Hazraat hain jo Huzoor Akram Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam par aapke izhare Nabuwwat se pahle iman lae.


Ref ( Madarijjunnabuwat, 2/41 )


JAWAB NO 04 Jab Aap islam k dayre mein dakhil hue tou us waqt tak 33, mard aur 6 Auratein islam qabool kar chuki thi'n.


Ref ( Khazainul irfaan, 10/4 )


JAWAB NO 05 Haleema Sadiya Razi'allahu Anha k baad umme Aiman Razi'allahu Anha ne aapki hifazat dekhbhal k faraiz Anjaam die yah umme Aiman Razi'allahu , Hazrat Abdul Muttalib  ki Bandi thi'n aur wah Huzoor Sallallahu alaihi Wasallam ko Hazrat Abdullah kee meeraas mein hasil huie thi Mawahib Ludunniya se maloom hota hai ki umme Aiman ka parwarish k faraiz Anzam dena Saiyyada Aamana kee Rahlat k baad tha.


Ref ( Madarij'Nabuwwat 2/37 )


♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Download App  http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen








No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.