Deeni maloomat - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Deeni maloomat



DEENI MALOOMAT 

AAO DEEN PAR CHALE

Galati karke sharmana imaan walon kee shan 

Hazrat abu umama se marwi hai ki ek sahab ne rasool e paak Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam se poocha ya Rasool'Allah imaan kee pahchan kiya hai farmaya 

Jab tumhe neki karke khushi ho aur gunah karke afsos ho tou tum sahibe imaan ho

Ref ( Mishkat Kitabul imaan safah 16 )

Is farmane Rasool Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam se zahir hai ki momin wahi nahi jo kabhi gunah w kare balki momin bhi gunahgar ho sakta hai aur hota hai lekin is ko Gunaah karne par afsos sadma aur dili takleef hoti hai aur gunah karke yah takleef usi ko hoti hai jo gunahon par jari aur unka aadi na ho gaya ho aur jo gunah par gunah karte hee rahte hain aur haram kariyan unki sarshat aur fitrat w aadat ban gayi tou unhe gunah karke pachtawe ehsaas aur sharmindagi kee ne'amat hasil nahi hoti maslan koie shakhs namaz ka paband hai aur kisi khas majboori kee wajah se sota rah gaya aur namaz ka waqt nikal gaya tou yaqeenan usko afsos hoga wah ghutn aur kudhan mahsoos karega lekin jo namaz chodne ka aadi ho gaya kabhi padhta hee nahi tou use namaz chootne ka afsos kiyon hone laga 

Is hadees se log yah na samjha le ki ab ham khoob gunah karenge aur baad mein afsos kar liya karenge kiyon ki afsos pachtawe aur sharmindagi ka ta'aalluq dil se hai aur Allah janta hai ki kis ke dil me kiya hai aur kaun gunah karke pachta raha hai aur Afsos kar raha hai aur kaun afsos karne pachtane ke liye hee gunah kar raha hai aur Allah ko koie dhoka nahi de sakta wah dhoka khane se paak hai usko dhoka dene kee koshish karne wale khud hee bade dhoke me hain..



♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen






No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.