Seerat ul anbiya - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Seerat ul anbiya

HAZRAT LOOT ALAIHIS'SALAM KI QOUM PER AZAAB 


Hazrat loot Alaihis'salam jis qaum kee taraf bheje gae,wah bahut khushhal thi unki bastiyan bahut abaad thi'n lekin yah qaum buraee mein doobi huie thi log khuda ko chodkar buton ko poojte they batmari krte aur sabse badi buraee inke yaha'n yah thi ki wah auraton ko chod kar ladkon k sath bura kaam karte they 

Kaha jata hai is badfeli ka bani shaitan tha jab usne chaha ki qaum mein yah buraee faile tou usne ek ajeeb tarkeeb se kaam liya iblees ek khoobsoorat ladke kee shakl mein ek baag mein aata aur hamesha uske fal-fool ko nuqsaan pahunchata baag ka malik use pakadne kee koshish karta, lekin wah bhag nikal jata jab baag ko bahut nuqsaan pahuncha aur baag ka malik pareshan ho gaya tou ek din iblees ne kaha ki agar too chahta hai ki main baag mein na aaoon tou mere sath yah kaam ( bura-fel ) kar aur apne baag kee taraf se be fikr ho ja

Baag k malik ne kaha, "Yah tou bahut accha hai aur fir wah is buraee mein pad gaya is tarah shaitaan ne fele-bad ko is qaum mein jaari kar diya khuda kee taraf se hidayat k lie Hazrat Loot Alaihis'salam ne logon ko is fel-bad se roka aur unko har tarah se samjhya aur khuda ka khauf dilaya aur kaha ki agar tum buraee se baaz nahi'n aate tou khuda ka azaab tumhen dhar lega lekin log itne besharm aur behaya the ki bole-

☆"FATINA BE'AZABILLAH IN KUNTU MINASSADIQEEN"


♡ TARJUMAH:- HUM PAR KHUDA KA AZAAB LA AGAR TOO SACCHA HAI"


Hazrat Loot Alaihis'salam fir bhi unko samjhate rahe aur unko khuda kee taraf dawat dete rahe apne chaha Ibraheem Alaihis'salam kee tarah Hazrat Loot Alaihis'salam bhi mehmanon kee badi izzat aur khidmat kartey they jab Hazrat Loot kee qaum kee buraee had se Zyaada bad gaee tou khuda ne is qaum ko mita dene ka faisla kar liya

Kuch farishte hasten aur khoobsoorat ladkon kee shakl mein Hazrat Loot Alaihis'salam k samne aaye Hazrat Loot Alaihis'salam ko sakht pareshani huie kyonki wah apni qaum kee aadat se waqif they, isliye mehmanon k aane se bahut ranjeeda hue mehmanon ko apne ghar mein thahraya aur Biwi se kaha, "kisi ko mehmanon ka haal maloom na hone pae" 

Lekin kafir Biwi ne jakar logon ko bata diya ki uske ghar aise ladke aae hai jinke Husn aur qado-qamat kee tareef nahi'n kee ja sakti Yani we hasn w jamal mein bemisal hain is khabar k sunte hee badchalan log Hazrat Loot Alaihis'salam k paas pahunche

Hazrat Loot ne kaha, "Mujhe kyon mehmanon k samne fazeehat karte ho?
Buraee se baaz raho agar chaho tou betiyon ko apne Nikah mein le aao lekin mere mehmanon ko mat satao"

Kafiron ne kaha, "teri betiyon se hame koie matlab nahi Ae loot jo hamara Iraada hai usko too khoob janta hai"

Farishton ne jab dekha ki Hazrat Loot Alaihis'salam baht pareshan hain tou khamoshi se unse kaha, "aap bekhauf rahe hum khuda k farishte hain ye log kuch bhi nuqsaan nahin pahuncha sakte" 
Hazrat Jibraeel Aameen ne darwaze se nikal kar apne paron kee hawa logon kee aankhon mein lagayi wah andhe hokar girte-padte gharon ko bhage  Hazrat Loot Alaihis'salam ko hukm hua ki wah basti chod de aur peeche lautkar na dekhe 

Hazrat Loot Alaihis'salam ko Allah ta'ala ne azaab se bacha liya Hazrat Loot Alaihis'salam kee Biwi aur kafir qaum tabah aur barbad ho gayi khuda ne basti ko talpat kar diya is qaum par khuda ne pattharon kee barish kee aur uska duniya mein koie namo-nishan baqi na raha 

Hazrat Loot Alaihis'salam apne Chacha Hazrat ibraheem Alaihis'salam k paas chale gae...

☆ Rabi Ul Awwal kee Dasvi tareekh ko unka intiqal hua..


Ref ( Qanssul Anbiya , page , 68,69,70 )

Download App http://goo.gl/x7SwOb

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen








No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.