Abu bakr siddique radi allahu anhu - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Abu bakr siddique radi allahu anhu


SEERAT E HAZRAT ABU BAKR SIDDIQUE RAZI'ALLAHU TA'ALA ANHU 

POST :-08

Usaama Bin Jaid Razi'allahu ta'ala anhu ko Naseehat 

Part:-02
Hazrat usaama Razi'allahu ta'ala anhu ne arz kiya ki ya tou aap bhi sawaar ho jaie ya mujhe sawaari se utar kar paidal chalne kee ijazat deejie jawaab mein Hazrat Siddique e Akbar Razi'allahu ta'ala anhu ne farmaya ki main sawaar honga aur na tumhe sawari se utarne kee ijazat doonga tum jihad ke liye ja rahe ho main tumhare sath thodi door chalkar sawab  hasil Karna chahta hoo'n 

Mujahideen e islam ne Hazrat Abu Bakr Siddique Razi'allahu ta'ala anhu ko Hazrat usaama Razi'allahu ta'ala anhu ke ghode ke sath paidal chalte dekha tou unhein nihayat hairat huie aur unke dilon mein khaleefa-e-Rasool Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam kee azmat aur bad gaie 

Hazrat Abu Bakr Siddique Razi'allahu ta'ala anhu ne chalte-chalte hazrat usaama Razi'allahu ta'ala anhu ko das 10 naseehate farmaee aur kaha,  "dekho tum aisi qaum ke paas jaoge jinhone apne-aapko Allah kee ibadat ke liye waqf kar diya hai main tumko das 10 waseeyate karta hoon 

(1) Kisi aurat, bachche aur boode ko qatl na karna,
(2) Fadaas Darkht ko na kana, 
(3) Kisi aabad jagah ko weeraan na karna,
(4) Bakri aur oont ko khane ke siwa bekar zabah mat karna,
(5) Nakhalistaan na jaana, 
(6) Male ganeemat mein khiyanat na karna,
(7) Buzdil na ho jana, bad ahadi na karna,
(8) Jiska rootba ka jo shakhs aae,  uske martaba ke mutabiq uski ijazat karna, 
(9) Khana Bismillah padhkar khana,
(10) Jab kisi qaum mein pahuncho tou nihayat narmi se use islaam kee dawat dena yahoodiyon aur esaaiyon ke ibadat guzaaron se koie ta'arrooz ( Dakhal'Andazi ) mat karna aur Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ke Ahkaam kee poori-poori tameel karna"

Ye Naseehate karne aapne farmaya ki jao, Allah kee raah mein kuffar se lado aur Allah hee se madad kee tawaqqo rakho 

Fir aapne waha'n se wapas hote waqt Hazrat usaama Razi'allahu ta'ala anhu se kaha ki agar tum ijazat do tou main Hazrat umar farooqe Razi'allahu ta'ala anhu ko mashware k liye apne paas rakh loon Hazrat usaama Razi'allahu ta'ala anhu ne ijazat de dee aur aap Razi'allahu ta'ala anhu Hazrat Umar farooqe Razi'allahu ta'ala anhu k sath wapas madeena laut aae 

Hazrat Siddique e Akbar Razi'allahu ta'ala anhu kee Azmat dekhe ki Wakt k khaleefa aur Ameerool-Momineen hone k bawajood aapne Hazrat usaama se Hazrat umar Razi'allahu ta'ala anhu ko apne paas rokne kee ijazat talab farmaee, halanki aap apne hukm se bhi Hazrat Umar Razi'allahu ta'ala anhu ko rok sakte the, lekin aapne lashkar k siphasaalar k Ikhtiyarat mein farq na aane diya jo apne lashkar k har sipahi par poora-poora ikhtiyar rakhta hai..

Ref ( Khulfa-e-Rashideen page , 28 )

SUBHAN’ALLAH!

SUBHANALLAH ! 

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen








No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.