SEERAT E GHOUS E AZAM - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

SEERAT E GHOUS E AZAM


SEERAT E GHOUS E AZAM



PART:-04

Shab e Viladat, Basharat aur Mushahidaat 


Mahboobe Subhani shaikh Abdul-qadir jeelani Razi'allahu ta'ala anhu k walid majid Hazrat Abu Saleh Saiyyad Moosa Jangi Dost Razi'allahu ta'ala anhu ne Huzoor e Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu kee shab e Viladat mushahida farmaya ki sarkare kainat ,  mafkhare maujoodat ,  manbae kamalat, baise takhleeqe kainaat Ahmed Mujtaba Alaihi Afzalussalate wattasleemat Ma'aa Sahaba kiram, Aimmatul -huda aur Auliya e izaam Alaihimur'Rizwaan unke ghar jalwa afroz hai aur in alfaze mubaraka se unko kitab farmaya aur basharat se nawaza 

☆Ae Abu Saleh! Allah ta'ala ne tum ko aisa farzand ata farmaya hai jo wali hai wah mera beta hai, wah mera aur Allah Az'wazal ka mahboob hai aur anqareeb uski Auliya Allah aur aqtaab mein wah shan hogi jo Anbiya aur Mursleen mein meri shaan hai 

Ghouse Azam Razi'allahu ta'ala anhu darmiyane Auliya cho'n Muhammad Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam darmiyane Anbiya 

(2) Hazrat Abu Saleh Moosa Jangi Dost Razi'allahu ta'ala anhu ko khwab mein shahanshahe Arab w Azam sarkare do'Aalam Muhammad mustafa sallallahu alaihi wasallam k alawa jumla Anbiya e kiram Alaihimussalate wassalaam ne yah basharat dee ki tamam Auliya Allah tumhare farzande Arjumand k mutee'a honge aur unki gardanon par unka qadame mubarak hoga..


Jiski mimbar Bane Gardane Auliya,

Us qadam kee karamat pe Lakhon Salam


(3) Jis raat Huzoor Ghous e Azam Razi'allahu ta'ala anhu kee Viladat huie us raat jeelaan shareef kee jin auraton k yaha'n baccha paida hua un sab ko Allah ta'ala ne ladka hee ata farmaya aur wah har nau maulood ladka Allah ka Wali bana-

Ghous e Azam Imamuttaqa wannuqa 

Jalv-e-shane kudrat pe Lakhon Salam


(4) Aapke shaana mubarak k darmiyan sarkar e dolalam Shahanshahe Arab w Ajam Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam k qadme Mubarak ka Nishan tha.

( 5) Aap ki Viladat mahe Ramzanul-Mubarak mein huie aur pahle din hee se wah roza rakha sahari se lekar iftari tak aap walid-e-mohtarma ka doodh na peete they

Ghous e Azam Muttaqi har aan mein

Choda Maa'n ka doodh bhi Ramzan mein


Ref ( Tafreehul -Khatir lishshaikh Abdul-qadir Al-Arbali  Safah. 1312  Matboo'aa )

Saiyyadana Ghosussaqlain Shaikh Abdul-Qadir Gilani Razi'allahu ta'ala anhu kee walida Majida farmati hai ki jab mere farzand Arjumand Abdul-Qadir paida hua tou Ramzan shareef mein din bhar doodh na peete tha  mausam abr Aalood hone kee wajah se logon ko Ramzan shareef ka Chand dikhaee na diya isliye logon ne mere paas aakar Saiyyadana Abdul-Qadir jeelani k muta'alliq daryaft kya ki unhone doodh piyare hai ki nahi? 
Tou maine un ko bataya ki mere farzand ne aaj doodh nahi piya baad razee tahqeeqat karne par is haqeeqat ka inkishaf ho gaya ki us din Ramzan kee pahli tareekh thi yani us din roza tha 

☆Washtahara bebaldena fee zalikal-waqte annahoo  waldun lil-ashrafe waldun la yarzao fee nahare ramzan.

Yani aur hamare shahar mein us waqt mashahoor ho gaya ki Saiyyadon k ghar mein ek baccha paida hua hai jo ramzan shareef mein din ko doodh nahin peeta..

Ref ( Tabaqatul -kubra jild 1, safah 126, satar 24 ta 27, Bahajatul-Asraar safah  89, Qalaidul-jawahir safa 3, satar 18 ta 21, nafkhatul-uns farsi safah 251, jame karamatul -auliya jild 2, safa 203, nuzhatul-khatir Al-fatir safa 32, Akhbarul-Akhiyaar farsi, safah 22, Safeenatul -auliya safah 63 )


♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen








No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.