ILM E GHAIB
ILM E GHAIB E MUSTAFA
HADEES NO 05
Qais Ibne Makhramah Razi'allahu ta'ala anhu se marwi hai ki Hazrat Usmaan ne kubaas Ibne Ashyam se poocha ki aap bade hain Ya Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam unhone farmaya Huzoor hee bade hain lekin main pahle paida hua hoo'n . .
Ref ( Tirmizi , jild , 2 Safah . 22 )
☆ Is Hadees se maloom hua ki sahaba e kiram nihayat ba Adab they inhe Huzoor k mukable mein bade ka lafz bolna gwara na tha.
HADEES NO 06
Hazrat Abu Hujaifa Razi'allahu ta'ala anhu kahtey hain ki dopahar k Wakt Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam hamare paas tashreef laye tou aap k WUZU k liye Paani laya gaya aap ne WUZU farmaya tou log aap k WUZU k Paani ko lekar apne jismon par malne lage fir aap ne Zuhar kee do Rak'at Namaz padhi aur asar bhi do 2 Rak'at padhi aur aap k samne neza tha Hazrat Abu Moosa Ash'ari Razi'allaho Anho farmate hain ki Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne ek pyala Mangaya jis mein pani tha pahle aapne apna Munh apne hathon ko usme dhoya aur isme kulli farmaee aur fir hum dono'n ( Hazrat Abu Moosa Ash'ari aur Hazrat Bilaal Razi'allahu ta'ala anhu ) se farmaya is Paani ko piyo aur is ko apne chehron aur seenon par daal lo..
Ref ( Bukhari Jild , 1 Safah . 31 )
☆ NOTE:- Yah ek safar ka kissa tha jis mein Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne Zuhar aur Asar mein do 2 Rak'at bataur qasr Ada farmaee thi aur makame ji'arrarana mein aap ka qyam tha aur Bukhari hee mein doosri jagah hai ki jab WUZU ka dhoban aur kulli kiya hua Paani Huzoor ne Hazrat Abu Mosa As'ari aur Hazrat Bilal ko ata farmaya aur yah dono'n Hazraat jab is Paani ko bataur tabarrook pee rahe they aur apne chehron aur seenon par dal rahe they tou ummul-Momineen Sayyadena Umme Salma Razi'allahu ta'ala anha jo kheme k andar se yah mulahiza farma rahi thi unhone farmaya dhoda apni Maa'n yani mere liye bhi bachaye rakho
HADEES K ALFAZ YAH HAI:
( Hazrat Umme Salma Razi'allahu ta'ala anha ne parde k peeche se aawaz lagaee ki thoda mere liye bhi bachalo tou unhone thoda Paani unke liye bachaya )
Ref ( Bukhari Jild , 2 Safah 620 )
HADEES NO 07
Hazrat Saib ibne yajeed farmatey hain ki meri khala mujh ko Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam kee khidmat mein le gaee aur arz kiya Ya Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam yah mera bhanja beemar hai aap ne mere sar par hath fera aur mere liye barkat kee dua farmaee fir aap ne WUZU farmaya aur maine aap k WUZU ka pani piya iske baad main aap k peeche khada ho gaya tou maine muhare Nuboowwat ko aap k dono'n kanon k beech mein dekha jaisa wah parde kee ghndi hai
Ref ( Bukhari , jild , 1 Safah 31 )
Aur Bukhari Jild 1 Safah 50 par is hadees k sath Hazrat Juaed ibne Abdur’Rahman ka yah kaul bhi hai ( Hazrat Juaed ibne Abdur’Rahman farmatey hai ki Huzoor k sar par hath ferne aur wuzoo ka pani peene kee barkat se main ne Saib ibne Yajeed ko chauranve 94 saal kee umar mein dekha wah bilkul tawana w Tandurast aur sahihul badan hain aur unhone bataya ki meri yah sama'at aur basaarat Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam kee dua kee wajah se hai..
Ref ( Bukhari Jild 1 Safah . 501 )
For reading...JazakAllah Khaira
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
No comments