SEERAT E GHOUS E AZAM
SEERAT E GHOUS E AZAM
PART:-14
Madarsa Nizamiya Kee Wasee'a Imarat :
Awaam k kasrate tadad mein hazir hone kee wajah se madarsa kee Imarat kee us'at nakafee thi log bahar faseel k nazdeek sarae k darwaze k qareeb sadak par baith jatey roz baroz kee badhti huee tadad k peshe nazar kurb w jawar k makanat shamil karke madarsa Aaliya kee Imarat ko wasee'a kar diya gaya umara ne Madarsa kee wasee'a Tareen Imarat banwa dene mein zare kaseer kharch kiya fuqra aur soofiya ne apne hathon se kaam kiya
Ref ( Qalaidul-jawahir Safa . 5 )
Aawaz Mubarak
Aapki Majlise Mubarak mein bawajood ki Hujoom zyada hota tha lekin aapki Aawaz Mubarak jitni nazdeek walon ko sunaee deti thi utni hee door walon ko sunaee deti thi yani door aur nazdeek wale Hazraat yaknsa aapki Aawaz Mubarak bilkul saaf sunte they
Ref ( Qalaidul-jawahir Safah . 74 , Bahajatul-Asraar safah , 94 )
Majlis Mein Anbiya Aur Auliya Kee Tashreef Aawari
Shaikh Muhaqqiq Abdul-haq Muhaddis Dehlvi Kuddesa Sirroohul-Azeez farmate hai yani aapki Majlis shareef mein kul Auliya e Allah Anbiya e kiram jismani hayat k sath aur arwah k sath aur jinn aur malayaka tashreef farma hotey they aur Hazrat Habeebe Rabbul Aalemeen Sallallahu alaihi wasallam wa Aalehi Ajmaeen bhi tarbiyat w taeed k liye jalwa farma hotey they aur Hazrat Khizr Alaihis'salam tou Aksar Auqat Majlis shareef k hazireen mein shamil hotey they aur mashaikhe zamana mein se jis se bhi Hazrat Khizr Alaihis'salam kee Mulaqat hoti tou usko aapki Majlis mein hazir hone kee taqeed farmatey neez irshad farmate ki jis ko bhi falah w bahabood kee khwahis ho usko is Majlis shareef kee hamesha haziri zaruri hai..
Ref ( Akhbarul-Akhiyaar farsi safah , 17 , Satar , 20 ta 24 , Qalaidul-Jawahir Safah 74 , Safeenatul-auliya Safah . 64 , Bahajatul-Asraar safah , 24 )
Sarkar E Do Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam Kee Tashreef Aawari
Hazrat Abu Saeed Qailoovi Alaihirrahma farmatey hain :
TARJAMA:- Maine kaee martaba Janab Sarkare Kainat Fakhre Maujoodat Muhammad Mustafa Alaihi Afzalussalat Wattasleemat aur deegar Anbiya e kiram Alaihimussalatu Wassalaam ko aapki Majlise Mubarak mein Raynaq Afroz hue dekha aur farishte aapki Majlis mein garoh dar garoh hazir hotey they aur isi tarah rijale Ghaib bhi aapki Majlis mein hazir hotey they aur haziri mein ek doosre se sabqat hasil kartey they..
Ref ( Bahajatul-Asraar safah , 95 , Qalaidul-jawahir , Safah 74 )
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

For reading...JazakAllah Khaira
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
No comments