Allah ko oopar wala kahna - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Allah ko oopar wala kahna


Allah ta'ala ko oopar wala kahna

Kuch log Allah ta'ala ko name lene ke bajae usko oopar wala bolte hain yah nihayat galat baat hai balki agar yah aqeeda rakh kar yah lafz bole ki Allah ta'ala oopar hai tou yah kufr hai kiyon ki Allah kee zaat oopar neeche aage peeche dahane baye tamam samton har makan aur har zaman se paak hai bartar w bala hai in sab dishaon poorab pachchim uttar dakkhin oopar neeche dahane aage peeche zaman w makan ko usee ne paida kiya hai to Allah ta'ala ke liye yah nahi'n bola ja sakta ki wah oopar hai 

Neeche hai poorab mein hai ya pachchim mein hai kyon ki jab usne in cheezon ko paida nahi'n kiya tha wah tab bhi tha kaha'n tha aur kiya tha is ki haqeeqat ko uske alawa koie nahi'n janta agar koie kahe ki Allah ta'ala arsh par hai tou usse poocha jaye ki jab usne arsh ko paida nahi'n kiya tha tab wah kaha'n tha?

Yoon hi agar koie kahe ki Allah ta'ala oopar hai tou usse poocha jaye ki oopar ko paida karne se pahle wah kaha'n tha?

Ha'n agar koie shakhs Allah ta'ala ko oopar wala is khayaal se kahe ki wah sab se buland w wala hai aur uska martaba sab se oopar hai tou yah kufr nahi'n hai lekin fir bhi Allah ta'ala ko aise Alfaz se bolna sahi nahi Jin se kufr ka shubaha ho aur Allah Az'wazal ko oopar wala kahna bahar haal mana hai jisse bachna zaroori hai.

Kuch log Allah ta'ala ko "malik" kahtey hain, ki malik ne chaha tou aisa ho jayega ya malik jo karega wah hoga wagaira wagaira . yah bhi achcha tareeqa nahi'n hai sab se zyada seedhi sachchi aur achchi baat yah hai ki Allah ko ALLAH  hee kaha jae kyonki uska name lena sabse achchi ibadat hai. aur uska zikr karna hee insan ka sabse bada maqsad aur musalman kee pahchan hee yah hai ki usko Allah ka name lene aur sunne mein maza aane lage...

Ref ( Galat fahamiyan aur unki islah pg, 12,13 )

Bolchal mein kufree batey 


Aam log baat cheet mein kufr ke shabd bol kar islam se kharij ho jatey hain aur iman se hath dho baithtey hain iska khayaal rakhna nihayat zaroori hai kyon ki har gunah kee bakhshish hai lekin agar kufr bak kar iman kho diya tou bakhshish aur jannat mein jane kee koie soorat nahi'n balki sab din jahannam mein jalna lazimee hai.

Hadees shareef mein hai ki huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne farmaya ki sham ko aadmi momin hoga tou sawere ko kafir aur subah ko momin hoga tou sham ko kafir 

Kalimat kufr kitne hain aur kis kis baat se kufr lazim aata hai is ki tafseel bayaan karna dushwar hai lekin ham awaam bhaeeyon ke liye chand hidayate likhe dete hain is post me insha Allah imaan salamat rahega 

(1)Aap ba-adab ho jaiye Allah ta'ala uske Rasool ,  farishte , khana e kaba , masjid , quran e kareem  , deeni kitaben , buzurgane deen , ulmae kiram , walidain ;  in sab ka adab tazeem aur mahabbat dil mein bitha leejiye ba-adab insan ka dil ek kare khotey ko parakhne kee tarazoo ho jata hai ki na khud uske munh se se galat baat nikalti hai aur koie aur bake tou usko nagwar guzarti hai iseeliye anpad ba-adab achcha hai padhe likhe be-adab se khudae ta'ala farmata hai: 

من یعظم شعائر الله فانھا من تقوی القلوب 


TARJAMA : Jo Allah kee nishaniyon kee tazeem kare tou yah dilon ki parhezgari hai.

(1) Hansi mazaq tafreeh w dillagi kee aadat mat banaye aur kabhi ho tou usme deeni mazhabi baton ko mat laiye khuda ta'ala , uski zaat w sifat , ambiya-e-keram , farishte ,  jannat , dozakh , azab , sawab , namaz , roza , wagairah Ahkame shar'a ka zikr Hansi tafreeh mein kabhi na laiye warna iman ke liye khatra paida ho sakta hai sha'aaire ilahiyyah  ( Allah kee nishaniyon ) ke sath mazaq kufr hai 

(3) Baaz log is qism kee batey sab ko khush karne ke liye bol detey hain jinka bolna aur khushi ke sath sunna kufr hai un logon aur aisi batey karne walon se door rahna zaroori hai maslan sab dharm saman hain, khidmatey khalq hee dharm hai , desh pahle haI dharm baad mein hai , ham pahle fanla mulk ke wasee hain aur musalman baad mein , raam  Raheem dono'n ek hain, ved w quran mein koie farq nahi'n ,  masjid w mandir dono'n khuda ke ghar hain ya dono'n jagah khuda milta hai , namaz padhna bekar aadmiyon ka kaam hai , roza wah rakhe jis ko khana na mile , namaz padhna na padhna sab barabar hai , ham ne bahut padh lee kuch nahi'n hota hai , yah sab kalimat khalis kufr gair Islami kafiron kee boliyan hai jin ko bolne se Aadmi kafir islam se kharij ho jata hai 

Siyasee log is qism kee batey gair muslimon ko khush karne , unke vote lene ke liye bate hain halanki dekha yah gaya hai ki wah unse khush bhi nahi'n hote aur gair Muslim apne hee dharm walon ko aamtaur se vote detey hain is tarah in netaon ko na duniya milti hai na deen aur jin gair muslimon ke vote aap ko milta hain wah apna deen iman bacha kar bhi mil saktey hai fir chand roz duniya ke iqtidar , noton aur voton kee khatir kiya apna imaan bechajayega ?

(4) Musalmanon mein jo nae nae firqe raij hue hain un se door rahna nihayat zaroori hai yah imaan w aqeede ke liye sab se bada khatra hain mazhabe ahlesunnat buzurgon kee ravish par qaim rahna imaan w qqeede kee hifazat ke liye nihayat lazim hain aur mazhabe Ahlesunnat kee sahee tarjamani is daur mein Aala hazrat maulana Ahmed Raza kha'n barelwi Alaihirrahmatu warridwan ne farmaee hai unki taleemat ain islam hain...

Ref ( Galat fahamiyan aur unki islah pg , 13,14,15 )

♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

  


No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.