Zikre nabi - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Zikre nabi


ZIKR E NABI 

Noor-e-Mustafa Shikm-e-madar me


Jis raat huzoor sarapa noor sallallahu alaihi wasalllam ka noor-e-pak hazrat aamana tayeba razi allaho ta'ala anha ke raham me karar paya. Mahe rajjab me woh raat juma mubaraka ki raat thi

Ref ( Jarkani Sareef, Jilad, 1 Page, 105, Madarejun Nabuwat, Jilad, 2 Page, 17 )

Hamare peer perane peer, huzoor gause aazam razi allaho ta'ala anho ke imam hazrat imam ahamad bin hambal razia allaho ta'ala anho farmate hai ke kya shan wali raat thi shab juma ke hamare huzoor noor-un-ala noor sallallahu ta'ala alaihi wasallam usi raat apni madr-e-mehrban ke shikam me tasrif laye, usi wazah se jume mubaraka ki raat sab-e-kadar se afzal hai. Kyonki jo barkat w hasnat aur iqram w s'aadat usi raat nazil hoye sab-e-qadar ko na mile hai na qayamat tak milenge

Ref ( Madar-e-jun Nabuwat, Jilad, 2 Page, 20 )

Bayan Istikrar-e-hamar.
Sikam-e-madarme aane ke barkat
Hamare huzoor mahboobe khuda, rahmate aalam sallallahu ta'ala alaihi wasallam sikm-e-madarme jab jalwa gar huye to duniya me ajeeb w gareeb waqyat juhoor pajeer huye

(1) Jannat ke tamam darwajo ko khol diya gaya

(2) Tamam aalam ko khusbu se muattar kar diya gaya hai

(3) Aur masreek se magrib tak tamam jahan me huzoor sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki aamad ke khuskhabri di gayi

Ref ( Anwar-e-Mohammadia, Page, Madar-e-Jun Nabuwat, Jilad 2, Page 18 )

Hazrat Abdullah aur Hazrat Aamana Tayeba Momin aur Jannati hai


Azim aur jalil imam hazrat mohammad bin abdul baki alzarkani rahmutullah ta'ala alaih aur jalilu qaddar ashique rasool hazrat alama hafiz jalaluddin siyeti rahmutullah ta'ala alaih aur azimo shan buzurg hazrat hafiz imam abunayim ahamad bin abdullah rahmutullah ta'ala alaih naqal farmate hai ke hamare huzoor sarapa noor sallallahu ta'ala alaihi wasallam ne farmaya allah ta'ala


لَم یَزَلِ اللہ یَنقُلُنِی مِنَ الَاصلا بِ الطَیِبَۃ وا لا رَ حامِ الطَا ھِرۃِ حَتیٰ اَخرَ جَنِی مِن م بَینِ اَبَوَیَ


Tarzama : Allah Ta'ala mujhe pak salbo se pak rahamo me muntakil karta raha yaha tak ki mujhe mere maa-baap ke jariye paida farmaya

Ref ( Jarqani Alal Mawahib, Zilad, 1 Page, 174, Khasayis-e-kubrah, Zilad 1, Page, 39 Dalayel-Un-Nabuwat, Page, 24, Shamulul Islam, Page 6 )

Hazraat ! Hadish-e-pak se saaf zahir hai  ke hamare huzoor purnoor ﷺ ke jitne aba w azdad aur mayen aur dadiyan guzri hain sab pak hain. Agar kufar w shirk wale hote to unko pak na kaha jata isliye ke Allah ta'ala ka irshad pak hai


وَلَعبادُ مُو م،ں جَیدُ مِن موشرِکِِ


Tarzumma : Aur Beshak musalman gulaam mushrik se achcha hai

Ref ( Para 2, Ruku 11, Kanjul Iman.)


وَلَاَ مَۃ مُو مِنَۃ خَیر مِن  مُسرِ کَۃِِ


Tarzumma : Aur beshak musalman laundi musrika se achchhi hai

Ref (  Para 2, Ruku 11 )

Hazraat ! Allah ta;ala ne quran-e-pak me saaf taur par farma diya ki kafir w kafirah se momin aur momina behtar hai


اِنَمَا المُشرِ کُو نَ نجس 


Tarzummah : Musrik nare napak hai

Ref ( Para 10, Ruku 10, Kanjul Iman )

Hazraat ! Allah ta'ala ke irshade pak se saaf taur par zahir hai ki kufar w sirak wale napak hai chahe mard ho ya aurate. To sabit hua ki allah ta'ala ne jin mardo ki salabo aur aurato ke rahamo me apna noor rakha w mard aur aurate kufar w sirak se pak thi warna kya allah ta'ala ne apne noor ko napak w nazis jagah rakh diya, hargiz nahi ye namumkin aur muhal hai. Laraib, Beshak w shubaha Allah ta'ala ne jis salab aur jis raham me apne habib ﷺ ke noor ko rakha wah sab tayyab w tahir the momin aur jannati the.

Teri nasal-e-pak me hai bachchha noor ka
To hai aaine noor tera sab gharana noor ka

Hazraat ! wahabiyo, devbandiyo ke peer w murshid maulvi rashid ahmad gangohe likhte hai kya rasool allah ﷺ ke maa, baab kafir w mushrik the

Ref ( Fatawa Rashid Kamil, Page, 218, Maktaba Mahmudiya, Saharanpur

Sau baar mazallah, Hazaar baar Allah ta'ala ki panah

Aye iman walo sine par hath rakh kar thande dil se soncho ki wah pusht-e-pak aur wo Shikm-e-madar jisme hamare huzur sarapa noor ﷺ ke noor pak Allah ta'ala ne rakha tha, wo kufr w shirk wale the, gande aur nazis the, wo dujakhi the ? to momin w musalman aur jannati to yahi kahega ke Allah ta'ala apna noor napak, gandi jagah me rakhe ye namumkin hai. Balke noor ke liye noor wali jagah ka intakhab farmata hai


♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

  

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.