Duniya aur muzammat e duniya - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Duniya aur muzammat e duniya

DUNIYA AUR MUZAMMAT E DUNIYA

duniya ki haqiqat

ek martanah hamare payare aqaa, mustafa jane rahamat sallallahu ta'ala alaihe wa sallam kure , karkat ke ke dher par khare huwe aur farmaya aao duniya ki taraf , fir aqaa qarim sallallahu ta'ala alaihe wa sallam ne us dher se kapre ka ek gala , sara , tukra aur ek gali , sari , haddi uthai aur farmaya ye duniya hai 

Ref - shobul iman , jild : 7 , page : 327 

Hazraat! hazarat imam mohammad gajali razi Allah anho farmate hai ke is hadis sharif se is bat di taraf ishara hai ki duniya ki zinat an qarib kapre ke us tukre ki tarah gal , sar jayegi aur jo jism is duniya me parwarish pate hai an qarib gali , sari haddiyan ban jaye inki 

Ref - ahyaul uloom shareef , jild : 3 , page : 456 

DUNIYA KO SAMJHNA CHAHIYE


Habibe khuda mohammad mustafa sallallahu ta'ala alaihe wa sallam ne farmaya beshak duniya mithi , sar sabz hai aur beshaq Allah ta'ala ne tumhe is me baki rakha taki wo dekhe ke tum kaise amal karte ho , beshaq bani ishraeel ke liye jab duniya failaee aur taiyar ki gai to woh jeworaat , auraton , aur khushbu aur kapron me kho gaye aur bhatak gaye 

Ref - masnad bin imam bin hambal , jild : 3 , page : 22 , tirmizi , jild : 2 , Page : 43 , kanjul amal , jild : 3 , page : 210 

HAR GUNAH KI JAR DUNIYA KI MOHABBAT HAI 


Naeeyebe mustafa hajrat imam mohammd gajali razi ta'ala anhu likhte hai ke hafrat isa alaihes' salam ka faman hai ke duniya ko mabud bana kar us ke bande na ban jao - apna khajan us zat ke pas jama karo jo kisi kamai ko zaye nahi karta , duniya khajano ke liye to khauf helakhat hota hai magar jiske  khajane khudaye ta'ala ke yaha jama ho wo kabhi tabah wo barbad nahi honnge aur aap ne farmaya ke aye mere hawariyo (aye shathiyo) maine duniyo ko ondhe muh dal diya hai , tum mere bad kahi use gale nahi laga lena - duniya ki sabse bari buraee ye hai ki us me aadmi Allah ka na farman ban jata hai - aur duniya ko chore bagair aakhrat ki bahlaee na mumkin hai - duniya me dil chaspi na lo , ise ibrat ki nigah se dekho aue ba khabar raho - duniya ki mohabbat har burai ki zar hai - ek lamha ki khawahise nafsani bare paresani me mubtala kar deti hai aur farmaya ke duniya tumhare liye sawari banai gai hai aue tum us ke pust par sawar ho gaye to ab badshah aur aurate tumhe us se utar na de yani tum duniya par sawar rahana , tum par duniya sawar na ho warna helaqat aur barbadi hai -

Ref - ahiya ul uloom sharieef , jild : 3 , page : 456  

ALLAH NE JAB SE DUNIYA BANAI KABHI NAHI DEKHA 


Hajrat e musha bin yaisar razi ta'ala anho farmaate hai ke hamare sarkar ummaat ke gam khar ; mustfa qarim sallallahu ta'ala alaihe wa sallam ne farmaya - ke beshak Allah ke najdeek duniya se bar kar koi makhluk kabil e nafrat nahi aur us ne jab se is duniya ko paida kiya us ki taraf nahi dekha aalim e rabbani hazrat imam mohammad gajali razi ta'ala anho likhte hai ke hajrat suleman allaihe his salam  ek martabah apne takhat par kahi ja rahe the parinde aap  par saya kar rahe the insan aur zinnat aap ke daye baye baithe the bani ishraeel ke  ek aabid ne dhekh kar kaha aye sulema khuda ki kasam Allah ta'ala ne aap ko milk e azim diya hai hazrat suleman allaihe salam ne yeh sun kar farmaya ke banda momin ke name amal me darj sirf ek tasbih meri tamam saltanat  se behatar hai - kiun ke yeh sab khatam ho jayega aur tasbih baki rahegi - 

Ref - makash e fatul qulub , page : 207 

Allah hu Akbar - Allah hu Akbar - hazraat! kitne payare andaz me Allah ke nabi hajrat suleman allaihis slam ne ham ko duniya ki haqiqat aur us ki qimat ko bataya aur samjhya aur yade ellahi , zikr e khuda ahmiyat aur fayede ko ujagar kar diya ke momin ki ek tasbih yani ek bar subhan Allah kahna suleman alliahis salam ki sari saltanat wa hukumat se behtar hai.

   JO RAHE KHUDA ME DIYA WAHI BAKI RAHEGA


hamare huzoor , sarapa noor , mustafa qarim sallallahu ta'ala alaihe wa sallam ka farman hai tumhe mal ke kasrat ne magul kar rakha hai - insan kahta hai mera mal , mera mal magar apne mal me se jo tune khaya wah khatam ho gaya aur jo pahna wo purana ho gaya aur jo rahe khuda  me kharch kiya wo baki rahega 

Ref - sahi muslim , jild 2 masnad imam ahamad bin hambal , jild : 4 , page , 24 maqasefatul quloob , page : 207 

DUNIYA US KA GHAR HAI , AAKHRAT ME JIS KA GHAR NAHI HAI 

mahbub e khuda , aaqa qarim sallallahu ta'ala alaihe wa sallam ne farmaya duniya us ka ghar hai jisaka aakhrat me ghar nahi hai aur us ka mal hai jis ke liye koi dusra mal nahi duniya ke liye wah aadmi jama karta hai jis ke pas aqal nahi us par wah dusmani karta hai jo jahil hai aur us ke liye wah hashad karta hai jis ke pas samjh nahi aur us ke liye wahi kosis karta hai jis ke pas yakin nahi 

Ref - shohbul iman , jild  : 7 , page : 375 , kanzul amal , jild : 3 , page 186 , mishkat , jild : 2 , page 444 , ahyaul uloom , jild : 3 , page : 457 

Allah ke habib , ham bimaro ke tabib . mustafa jane rahmat sallallahu ta'ala alaihe wa sallam ne farmaya jis aadmi ne yu subag ki ke us ka sab se bara maqsad husool e duniya ho us ka Allah ta'ala ke sath kuch ta' alluq nahi aur Allah ta'ala us ke dil par 4 chizon ko musallat (mukarar) kar deta hai (1) aisa gam jo kabhi khatam nahi hoga (2) aisa mashgul kar dega jis se kabhi chutkara nahi mil sakta (3) aisi mohtazi kar dega jo kabhi khatam bahi hogi (4) aur aisi ummid jo kabhi puri nahi hogi

Ref - almustadrak lil hakim , jild : 4 , page : 327 , tanzul amal , jild : 3 , page : 226 , ah yaul uloom , jild : 3 , page : 458.

hazraat ! Aaj jab ham mahaul par nazar dalte hai to Aaqa kareen salalllahu alaihi wa'sallam ka farman Aallishan ahr ba harp sadiq pate hain ke yaqinan dunya daar par Allah ta'ala in 4 mosibston ko mosallat kar deta hi phir Aadmi usi me doob kar  rah  jata hai aur thodi modi zakat w fitrah kisi ko de deta hai aur kisi gareeb ki kabhi sabhi madad kar deta hai - to samajhata hai ke  ham ne hamari zindagi  ka maqsad pura kar diya bahut bada dhoka hai , gunahon me zindagi guzarne wala , subah se sham tak aur sham se subah tak har waqt fikre dumya me mubtala rahne wala insan isi tarah jita hai _ aur phir ek din sab kuchh chhhod kar is dunya se kuchh kar jat hai aur marte waqt bhi dunya is ka pet nahi bhar pati hai aur wah Aadmi dunya ke la'lach me mubtala aur dunya ki bhook liye huye qabar me chala jata hai -

DUNYA KI HAQIQAT AJIB HAI 


Hazrat abu huaraih razi Allah anhu se rawayat hai ke mujh se hamare Aaqa kareem salallahu alaihi wa'sallam ne darmaya tujhe dunya ki haqiqat dikhlaon ga ? maine arz kiya han ya rasool \Allah salallahu alaihi wa'sallam  ? Aap mera hath pakad kar mujhe madimh tayyabah ki ek wadi me le gaye  jahan kuda pada tha aur us me gandagi,chithde aur insan ke sar ki bosadiah haddiyan thin - Aaqa kareem salallahu alaihi wa'sallam ne farmaya aye abu hurairah razi Allah anho ye sar bhi tumhare saron ki tarah lalchi the aur unme tumhari bahut Aarzuyen thin magar ye Aaj khali haddiyan ban chuki hain - Jin par khal bhi nahi Rahi aur anqareeb ye mitti ho jaye ge - ye gandagi un khanon ke rang ke hain , jinhen un logon ne kama kama kar khaya , Aaj log unse munh bher kar guzarte hain , ye purane chithde Jo kabhi unke achhe achhe kapde malbusat the - Aaj Hawa unhe udaye phirti hai ye unki sawariyon ki haddiyan hain Jin par wah sawar ho kar shahron , shahron ghuma karte the , Jo dunya ke anjaam par Rona pasand Karta ho use Rona chahiye - Hazrat Abu hurairah Razi Allah anho farmate hain - phir mai Aaqa Kareem sallallahu alaihi wasallam bahut roye

Ref ( Makashefatal quloob , page : 208

Hazraat ! Haqiqat me ye dunya rone ki jagaha hai agar ye dunya hansne aur muskurane ki jagaha Hoti to mahboob e khuda sallallahu alaihi wasallam aur Aap sallallahu alaihi wasallam ke sahaba Razi Allah anhum ajmaeen raat , raat Bhar rote nahi - ek rawayat me hai ke jab hazrat Aadam Alaihis'salam ko zameen par utara gaya to Allah ta'ala ne farmaya tabahi ke liye emaraten banao aur maut ke liye bachche paidah karo

Ref ( Hulyatul auliya , jild , 3 , page : 327 , Makashefatal quloob , page : 207

DUNYA KE DIL DADAH JAHANNAM ME DALE JAIN GEN 

Allah ke habeeb , ham bimaron ke tabeeb ,musatafa jaan e rahmat sallallahu alaihi wasallam ne farmaya : ke qayamat ke din aise log Aayen gen jin ke Aamaal e hasna tahama pahadon ke barabar hon ge magar unhen jshannam ki taraf le jaya jaye ga - sahaba e keram razi Allah anhum  ne puchhha ya rasoola Allah sallallahu alaihi wasallam wah namaz rozah ada karne wale honge ? Aaqa kareem sallallahu alaihi wasallam ne farmaya  Han ! wah log rozah daar aur raat ka ek hissa ibadat me guzarne wale honge magar wah  dunya ke dil dadah honge ( yaani dunya ke zeeb w zinat aur banao \singahr par fida hone wale log  honge

ref ( Hulyatut auliya , jild , 1 , page : 233 , Makashefatal quloob , page , 209

Aa;lim e rabbani imaam mohammad ghazali razi Allah anho bayaan far\mate hain ki Hazrat isa alaihis salam ka farman hai ke jis tarah ek bartan me Aag w paani jama nahi ho sakte usi tarah ek dil me dunya w Aakhrat ki muhabbat jama nahi aho sakti hai -aur farmate hain ke Hazrat jibraeel alaihis salam ne Hazrat nooh ala\ihis salam se puchh ke Aap ne to bahut lambi umar paee hai , ye batayen ke Aap ne dunya ko kaisa  paya ? to Hazrat nooh alaihis salam ne farmaya ke dunya ek saraye hai jis ke 2 darwaze hain , ek darwaze se daakhil huwa aur dusre darwaze se niksl gaya -

Ref ( Ahyaaul uloom , jild , 3 ,page : 460 , Makashefatal quloob , page: 210

MUMIN KI DUNYA AUR KAFIR KI DUNYA ME BAHUT FARQ HAI 

Hazraat ! Nabi e rahmat , shaf\iye ummat , rasool Allah sallallahu ta'ala alaihi wasallam ka fatrman e zeeshan zwhan me mahfooz ra\khye ga -DUNYA MOMIN KE LIYE QAID KHANA HAI -

Ref ( sahi muslim , jild , 2, page , 406 , ibne majah shareef , page : 303 , Mishkat shareef , page: 493

Hazraat ! hadees shareef se saaf taur par sabit hua ke dunya ki haqiqat momin ke liye ek qaid khane ki tarah hai aurnkoi bhi daana shakhas qaid khana se dil nahi lagata hai aur is \dunya ki haqiqt kafir ke liye jannat hai goya ye dunya kafir ke liye sab kuchh hai aur dunya hi me kafir ko uski nekiyon ka sila aur badla mil jata hai - kuchh \bh\i qayamat ke liye baqi nahi rah gaya aur momin ko uski nekyon ka badla to dunya me milta hi hai  magar asal badla Allah ta'ala baroz e qayamat jannat ki shakal me mominon ko ata farmaye ga -

Hazraat ! dumya me kafir is liye bhi ziyzdah  asudah haal aur bazahir kamyaab rahta hai ke us ko sab kuchh dunya hi me de diya jata hai - mulahizah farmaye :-

Hazrat Abul lais samar qandi rahmatullah ta'ala alaih farmate hain ke 4the Aasaman par 2 farishton ki Aapas me mulaqaat huee , ek farishte ne dusre farishte puchha ke kahan ja rahe hain  ? to farishte ne kaha ke fulan shahar me ek yahudi marne wala hai aur us ne machhli khane ki Aarrzu ki hai lekin uske ke elaqah ke darya ki machhliyan nahi - 
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen






No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.