Zikre nabi
ZIKR E NABI
Hazrat imam zainul Aabedeen Razi'allahu ta'ala anhu apne walide gerami, Hazrat imaam Husain Razi'allahu ta'ala anhu se riwayat kartey Hain ki Nabi e kareem Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke main Aadam Alaihis'salam ki paidaees se 14 hazaar saal pahle apne Rab ke Huzoor ek Noor tha
Ref ( Zarqani, jild, 1, page, 49, thanwi ki nashrut tayyab,page, 8)
bade bade buzurgon ne apni mustanad kitabon me jo ahaadees e kreema naqal ki hain us se saaf taur par zaahir w sabit hai ke hamare huzoor Allah ta'ala ke noor hain
teri nasle paak me hai bachcha bachcha noor ka tu hai aine noor tera sab gharana noor ka
hamare huzoor sarapa noor farmte hain mai us waqt bhi nabi tha jab Aadam alaihils salam jism aur rooh ke darmiyan the -
Ref ( Bukhari , Tirmizi shareef , mishkaat shareef , page , 513, khsaees e kubra , jild , 1 , page , 6 )
JIBRAEEL ALAIHIS SALAM KI UMAR
Allama ismaeel haqqi razi allah anhu ne roohul bayaan shareef me , imaam allama ali bin burhanuddin halbi rahmatullah ta'ala alaih ne sirat e halbiya me , aur imaam yusuf nabhaani ne jawaaherul bahaar fi fazlin nabi yil mokhtar me naqal farmaya hai ke hamare huzoor noor ala noor sallallahu alaihi wsallam ne jibraeel alahis salam se daryaaft kiya ke tumhari umar kisalatni hai ? hazrat jibraeel alaihis salam ne arz kiya ki khuda ki kasam main iske siva nahi janta yani mujhe itna malum hai ki chauthe hijab me ek sitara 70 hajar saal bad chamakta tha maine us sitare ko 72 hazaar martba dekha hai hamare huzur sarapa noor sallallahu ta'ala alaihi wasallam ne farmaya ae jibraeel mere rab ki izzat ki kasam wah sitara main hi tha(Ref ) Ruhul bayan, zilad, 3 page, 543, sirte halbiya, Zilad, 1 page, 49 Jawaherul Bahar, Page 776 )
♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡
Next post inshaAllah soon
♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧
♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
For reading...JazakAllah Khaira
♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
No comments