Abu bakr siddique radi allahu anhu
SEERAT E HAZRAT ABU BAKR SIDDIQUE RAZI'ALLAHU TA'ALA ANHU
POST :-04
Musalmaanon ka pahla khaleefa
Safar 11, hijri mein Rasool e Akram Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam kee tabiyat nasaaz huie aur aap Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam kee beemari taweel hone lagi tou aap Sallallahu Alaihi Wasallam hazrat Aaisha Siddique Razi'allahu ta'ala anha ke kamre mein tareef lae aur aakhri waqt tak wahin qiyam farmaya is kamre ka ek darwaza masjid e Nabvi Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam mein khulta tha ek roz aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne gusl farmaya aur uthana chaha ki gash ( behoshi ) kee halat ) aa gaya hosh aane par aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne dobara gusl farmaya rawayat hai ki us roz aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne teen baar gusl farmaya aur poocha ki kiya Namaz ho chuki?
Teenon dafa Hazrat Aaisha Razi'allahu ta'ala anha ne arz kiya ki aap Sallallahu Alaihi Wasallam ka intizar hai aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Abu Bakr Siddique Razi'allahu ta'ala anhu meri jagah Namaz padhaen chunanche Hazrat Abu Bakr Siddique Razi'allahu ta'ala anhu ne imaamat kee Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam beemar rahe aur Hazrat Abu Bakr Siddique Razi'allahu ta'ala anhu Namaz padhate rahe Hazrat Abu Bakr Siddique Razi'allahu ta'ala anhu ne Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki beemari ke zamane mein (17) Sattarah Namazon kee imamat kee ek roz Hazrat Abu Bakr Siddique Razi'allahu ta'ala anhu Namaz padha rahe they ki Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam Masjid mein tashreef lae us Roz aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko kuch had tak beemari se aaram tha aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko dekh kar siddique e Akbar ne peeche hatna chaha ( taki Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam imamat farmaein ) lekin Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne Hazrat Abu Bakr Siddique Razi'allahu ta'ala anhu ko thamkar peeche na hatne diya, balki wahin roka diya aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hazrat Abu Bakr Siddique Razi'allahu ta'ala anhu ke pahloo mein baithkar Namaz Ada kee
Ref ( Khulfa-e-Rashideen page , 25 )
Ref ( Khulfa-e-Rashideen page , 25 )
♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
For reading...JazakAllah Khaira
♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
www.zikr-e-rasool.com
No comments