Eid Milad Un Nabi Manane Ka Saboot Qur'an O Hadees Ki Roshni Mein - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Eid Milad Un Nabi Manane Ka Saboot Qur'an O Hadees Ki Roshni Mein

Huraan e bahisht ki Hazrat Aaminah ko basharat 


Hazrat Aaminah tayyabah Razi Allah anha farmati hain ke maine waqt e weladat Chand auraton ko dekha Jo qad wa Qamar me aur husn wa Jamal me be'misal thin unhon ne mujhe Charon oor se gher liya aur mai hairan thi ke ye Kon hain aur inko kis ne mere haal par Khabar kiya hai ke mere paas Aaee hain - phir unme se ek ne kaha ke mai firaun ki biwi Aasiya Hun aur dusri ne bataya mai Hazrat Isa ki maa'n Maryam Hun aur tisri ne kaha ke mai Hazrat ismaeel alaihis Salam ki maa'n hajrah Hun aur ye hamare sath jannat ki huren hain 



Ref ( siratun nabwiyah , jild , 1 , page :47 


Milad un Nabi sallallahu ta'ala alaihi wasallam par raushni ka ihtimaam 


Hazraat ! Jab ham Khush ka izhar karte hain aur Jahan manage hain change wah khushi aur jashan mulk ki Aazadi ke moqe par ho ya bachche ki paidaeesh par ho ya kisi bhi nemat wa daulat ke Milne par ho , ham apni haisiyat ke motabiq raushni karte hain , qamqame aagaye hain aur is tarah se apni khushi aur jashan ka izhaar karte hain aur Gali kuncho ko mahalle ko aur makano ko Saja kar Noor bana dete hain - lekin wah Allah ta'ala jis ki shan bahut buland hai , us ne sitaron ko qamqame bana kar zameen ke gareeb kar diya -

Hazrat usmaan bin abil Aas ki walidah majidah Hazrat fatima bint e Abdullah saqpiyah Razi Allah ta'ala anha farmati hain ke jis raat Rasool Allah sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki weladat huee to mai huzoor Mustafa Kareem sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki walidah majidah Hazrat Aaminah tayyabah Razi Allah anha ke paas thi maine dekha ke Khana e ka'aba Noor se manawwar ho gaya hai - aur sitare zameen ke itne gareeb Aagaye ke mujhe kahna pada ke kahin wah mujh par Na gir paden -

Ref ( Elaan e nabuwat , jild , page , 273 , Al bedayah wan nehayah , jild , 2 , page:264

Hazraat ! Allah ta'ala ki janib se Milad un Nabi sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki khushi me Aasman ke sitaron ko mahboob sallallahu ta'ala alaihi wasallam ke makan ke itne gareeb kar diya gaya tha ke dekhne Wala ye samajhne lage the ke kahin ye sitare mujh par Na gir paden aur wah tare makan ke janib jhuke hue the aur khub raushan the -

Aye Imaam walon ! Saaf taur par zahir ho gaya ke eid milad un Nabi sallallahu ta'ala alaihi wasallam ke moqah par khub khub charagan karna, makano par aur mahallon me raushni karna qamqame lagana bid'at wa najaiz nahi hain , balke Allah ta'ala ki sunnat aur uski khushi ka zarya hain -

KA'ABAH KE CHHAT PAR JHANDA NASAB KIYA GAYA


Hadees shareef se sabit ho gaya ke Milad un Nabi sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki khushi aur musarrat ke izhaar Alal Elaan hona chahiye jaisa ke Allah ta'ala ki janib se mashriq wa maghrib me jhanda nasab karke Mahboob e Rasool sallallahu alaihi wasallam ki milad shareef ki khushi aur musarrat ka izhaar Alal Elaan kiya gaya aur ka'bah moazzamah ke upar Alam buland karke Goya bandon ko jataya gaya ke ka'aba moazzamah jis ko baitullah hone ka sharaf hasil hai us par khudaye ta'ala ke hukum se Hazrat jibraeel alaihis Salam ne Mahboob e Rasool maqbool Rasool sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki paida'ish aur tashreef Aaoori ke moqah par khushi aur musarrat ka izhaar ke liye jhanda nasab kiya -

Aye Imaam walon ! Allah ta'ala ne ka'aba moazzamah ko apna Ghar farmaya hai , ka'aba moazzamah ko baitullah hone ka sharaf hasil hai aur ka'bah moazzamah par Alam nasab karne ka matlab ye hua Jo khub zahir hai ke khudaye ta'ala apne mahboob nabi sallallahu ta'ala alaihi wasallam ko paidah farma kar is qadar Khushi aur musarrat ka izhaar farmata hai ke mashriq wa maghrib me aur ka'bah moazzamah par jhanda nasab kiya gaya take bandon ko maloom ho jai ke Milad un Nabi sallallahu ta'ala alaihi wasallam par khud khaliq wa Malik Allah ta'ala is qadar khush hai ke apne Ghar ka'aba moazzamah par Alam nasab farmaya -

Hazraat ! Ham log to mahboob e khuda Rasool Allah sallallahu ta'ala alaihi wasallam ke ummati aur Gulam hain - to ham par bhi lazmi hai ke Milad un Nabi sallallahu ta'ala alaihi wasallam ke moqah par khushi aur musarrat ka izhaar wa bayan ke liye aur khudaye ta'ala ki khushi Jaan kar apne gharon aur mahallon me jhande lagayen aur Allah ta'ala aur uske mahboob Rasool sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki bargha me kaseer inaam aur dheron ikraam ke mustahiq ban jain -

Milad un Nabi par jhande lagaye gaye

Hamare sarkar Ahmad e mukhtar Mustafa Kareem sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki walidah majidah Razi Allah anha farmati hain ke Allah ta'ala ne mere nigahon se tamam parse hata diye the to maine dekha ke mashriq se maghrib tak tamam Aalam ko aur maine 3 jhande dekhe ek mashriq me gaya gaya aur dusra maghrib me aur tisra jhanda ka'aba moazzamah ki chhat par nasab kiya gaya -

Ref ( khasaise kubra , jild , 1 , page :81 , Al bedayah wan nehayah , jild , 6 , page :298 , Anwaare mohammadiya , page:22

PURA SAAL LADKE HI PAIDAH HUE

Allah ta'ala ta'ala ne apne mahboob Rasool sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki tashreef Aaoori ki khushi me tamam auraton ko ladke hi ata farmaye :

واذن الله تلک السنة لنساء الدنیا یحملن ذکورا کرامة لرسول الله
Yani :- Allah ta'ala ne us saal ye hukum farma diya ke mere mahboob sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki takreem me tamam dunya ki auraton ladko ko Janam den

Ref ( khasaise kubra , jild , 1 , page:80 , Mawahib e ladunya , jild , 1 , page:124 , Anwaare mohammadiya , page:22

Hazraat ! Hamare huzoor Mustafa Kareem sallallahu ta'ala alaihi wasallam ko paidah farma kar khush hai aur bandon ko in'aam de raha hai - ham to ummati hain ghulam hain hamen kis qadar mahboob e paak sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki milad paak par khush ho kar khub khub in'aam wa ikraam aur tohfa bantna chahiye - hamare huzoor sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki paida'ish 12 rabiul awwal peer ke din subah sadiq ke waqt raat ja rahi thi aur din Aaraha the - Rasool Allah sallallahu ta'ala alaihi wasallam ne farmaya isi din yàni peer ke din me paidah hua aur usi din meri ba'asat huee aur usi din mujh par Quran nazil hua

Ref ( sahi Muslim , jild , 2 , page:819 , sunan e kubra , jild , 4 , page:286

MILAD E MUSTAFA SALLALLAHU TA'ALA ALAIHI WASALLAM KI PAHLI MAHFIL MAJLIS E AMBIYA HAI


Hazraat ! Roze misaque Majlis e Ambiya me khud Allah ta'ala ne apne mahboob Rasool sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki milad shareef ka zikr farmaya mulahizah ho -


وَإِذْ أَخَذَ اللَّهُ مِيثَاقَ النَّبِيِّينَ لَمَا آتَيْتُكُم مِّن كِتَابٍ وَحِكْمَةٍ ثُمَّ جَاءَكُمْ رَسُولٌ مُّصَدِّقٌ لِّمَا مَعَكُمْ لَتُؤْمِنُنَّ بِهِ وَلَتَنصُرُنَّهُ ۚ قَالَ أَأَقْرَرْتُمْ وَأَخَذْتُمْ عَلَىٰ ذَٰلِكُمْ إِصْرِي ۖ قَالُوا أَقْرَرْنَا ۚ قَالَ فَاشْهَدُوا وَأَنَا مَعَكُم مِّنَ الشَّاهِدِينَ

Tarjama :- aur yaad karo , jab Allah ta'ala ne baidambaron se unka ahad liya , Jo mai tum ko kitab wa hikmat dun , phir tashreef laye tumhare paas wah Rasool ke tumhari kitaben ki tasdique farmaye to tum zaroor zaroor us par imaan Lana aur zaroor zaroor unki madad karna - farmaya kiyo tum ne iqraar kiya ? Aur is par bhari zimmah liya - sab ne arz ki ham ne zimmah liya ham ne iqraar kiya - aur farmaya to ek dusre par gawah ho jao aur main Aap tumhare Saath gawahon me shamil Hun

Ref ( parah :3 , ruku , 17 , kanzul imaan , Milad un nabwiyah , page:18

Aye Imaam walon ! Allah ta'ala ne Ambiya ki Majlis me apne habeeb , ham binarion ke tabeeb Rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ki milad ka zikr tamam Aalam se pahle bayaan farmaya -

Goya zikre milad shareef is qadar pakizah hai ke baayn Karne Wala Allah ta'ala hai AUR jis Majlis me zikre paak ka bayaan hua wah Majlis e Ambiya hai -

Aur Aaqaye kayenaat Rasool Allah sallallahu ta'ala alaihi wasallam ki milad shareef ko bayaan karna sunnat e ilahiyah hai AUR zikre milad e paak ko Sunna sunnat e Ambiya alaihis salato was'salam hai - bade Khush naseeb hain wah sunni musalman Jo Majlis e Milad shareef ka in'eqaad kar ke sunnat e khuda par Amal karte hain AUR zikre habeeb sallallahu ta'ala alaihi wasallam sun kar sunnat e Ambiya alaihis salato was'salam par Amal karte Nazar aate hain -

Algaraz isi tarah har zamane me Hamare huzoor Mustafa Kareem sallallahu ta'ala alaihi wasallam ka zikre milad WA tashreef Aaoori hota raha , har zamane me Ambiya wa mursaleen alaihis salato was'salam se lekar ibraheem WA Musa , WA daood WA sulaiman WA zakarya alaihis salato was'salam tak tamam nabi WA Rasool apne apne zamane me Majlis e huzoor tateeeb dete Rahe aur Milad shareef ki paak mahfil qayem karte Rahe yahan tak ke sare nabyon aur rasoolon me pichhla zikr Milad Mustafa sallallahu ta'ala alaihi wasallam sunane Wala , kuwari suthri , paak batool , Hazrat e Maryam Razi Allah anha ka piyara beta jise Allah ne be'baap ke paidah kiya yani sayyedena Isa alaihis salato was'salam tashreef laye farmate huye  مبشرام برسول یاتی من بعدی اسمہ احمد

Tarjama :- aur in Rasool ki basharat sunata hun Jo mere baad tashreef layen ge unka Naam Ahmad hai

Ref( parah :28 , ruku , 9 , kanzul imaan )

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Download App http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen








No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.