ILM E GHAIB - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

ILM E GHAIB


ILME GHAIB SE MUT'ALLIQ AHLE SUNNAT K AQAID

ILM E GHAIB E MUSTAFA


Allah Tabarak w ta'ala Aalim bijjat hai iska ilm kisi kee ata se nahi'n 

(1) Allah Tabaraq w Ta'ala ka ilm gair mutanahi hai yani is kee koie had aur intiha nahi'n baqi makhlook khwah Ambiya e kiram hee hon inke uloom kee intiha hai wah la Mahadood nahin 
(2) Agar koie shakhs kahe ki makhlook mein se kisi ko jarra barabar ilm bhi bagair khud e ta'ala k Az khood hai tou aisa kahne Wala yaqeenan bada mushrik aur badtareen qafir hai
(3) Allah Tabarak w Ta'ala ne Huzoor Nabi e kareem Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ko Awwaleen w aakhreen duniya w Aakhirat zameenon aasmanon k tamam uloom aap k duniya se tashreef le jane se pahle ata farma deye aap ka ilm makhlook mein sab se zyada hai
(4) Allah Tabarak w Ta'ala k ilm mein tagyyur w tabdeel mumkin nahin us ka ilm tawajjoh se pak hai uski zaat k alawa baqee sab k ilm mein tagyyur aur betawajjuhi mumkin hai
(5) Sari Makhlookat hatta ki Ambiya e kiram Alaihis'salam k sare uloom Allah Rabbul ijazat k ilm se wah nisbat bhi nahi'n rahte jo ek bond k karodwe hisse ko karodon samundaron se hai yani Allah Tabarak w Ta'ala k ilm ko agar karodon samundaron k barabar farz kiya jaye tou sari makhlook ka ilm us k mukable mein ek bond se bhi badrajaha kam hai 
(6) Allah ta'ala apne mukarrebin bandon mein se ba'az Auliya kiram ko bhi GHAIB ka ilm ata farmaya hai

Sahab E Kiram Ka Ishk e Rasool  Aur Tazeem e Rasool  aur aap kee zaat se Mansoob cheezon ko Ba'ise Faiz w Barkat janna.


Is unwan k tahat hum un Hadeeson ko jama karenge jin se zahir ho ki Sahab e kiram Rasool E Akram Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam se kis kadar Mohabbat w Aqeedat rakhte the aur aap aur aap kee zaat se nisbat rakhne wali har cheez ko wah apne liye baise barkat jante they 

Aap hamari pesh karda Ahadees mein Mutal'a farmayenge ki Allah ta'ala k Mahboob bandon se faiz w barkat hasil Karna yah bid'at w gumrahi aur is zamane kee paidawar nahi'n balki jin se islam chala hai aur faila hai khud inhi ka tareeq e kaar raha hai aap mulahiza farmayenge ki Sahab e kiram Namaz Roze Ahkame shar'a k paband aur muttabie Rasool hone k sath sath aashike Rasool bhi they aap k deewane the lihaza musalman wahi hai jo Huzoor Nabi E Kareem Sallallahu ta'ala alaihi wasallam se Mohabbat w ishk rakhte ho Aapke naam lewa aur deewane ho aur iske sath sath Namaz Roze aur Ahkame Shar'a k paband aur jis baat se khuda w Rasool Naraz Ho is se door rahtey ho..


HADEES NO 01


 Hazrat Ans Razi'allahu ta'ala anhu se marwi hai ki ek dehati Aadmi Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam kee khidmat mein hazir hua aur poocha ya Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam qayamat kab aayegi farmaya tere liye kharabi ho too ne qayamat k liye kya taiyari kee hai Arz kiya Huzur maine taiyari tou nahi'n kee lekin main Allah aur ùske Rasool se Muhabbat karta hoon farmaya tou tum uske sath rahoge jisse Mohabbat kartey ho fir hum logon ne arz kiya Huzur kya yah sab k liye hai farmaya ha'n Rawi kahtey hain is baat se hum behad khush hue..

Ref ( Bukhari Jild , 2 Kitabul Aadab , Safah 911, Muslim Jild , 2 Safah . 331 )

☆ Is Hadees se acchi tarah maloom ho gaya ki sahaba e kiram sab k sab aashikane Rasool they Isee liye jab unhone yah suna ki jo jis se Mohabbat karega wah uske sath rahega tou wah nihayat khush hue yah bhi maloom hua ki wah log muttaqi parhezgar aur deendar hone k bawajood apni nijaat ka zarya mahaz aamale swaliha ko nahi'n balki Mohabbate Khuda wa Rasool ko khayal kartey they 

Khulasa yah ki jo log deendar bantey hain aur unhen Allah w Rasool se Mohabbat w ishk nahi'n hain wah galat rastey par hain ha'n wah log bhi dhoke aur tote mein hai jo khali naam kee Mohabbat kartey Hain aur unhe Ahkam e sariya kee kat'an fikr nahin haram w halal mein koie fark nahi Namaz Roze k paband nahin gunahon mein lage rahtey hain.

HADEES NO 02


Hazrat Umar Farooqe Razi'allahu ta'ala anhu ne dua farmai ki ya Allah too mujhko apni raah mein shaheed hone ka sharaf ata farma aur mujhko apne Rasool k shahar mein maut ata farma..

Ref ( Bukhari Jild , 2 Safah . 253 )

Is Hadees se zahir hota hai ki Hazrat Sayyadena Umar Farooqe Razi'allahu ta'ala anhu ka ishqe Rasool is had ko pahuch chuka tha ki shahare Rasool k Alawa kisi aur jagah inko maut bhi pasand na thi aur khud e ta'ala ne is aashike sadik kee dono khwahishat poori farma dee aur Hazrat umar ko madeene Sha mein hee shahadat Naseeb huie aur Huzoor k Rauze mein dafan hone ka sharf bhi hasil hua...


HADEES NO 03


Mashhoor Tabaee Hazrat Ibne Aseer farmatey hain ki main ne Hazrat Ubaida se arz kiya ki mere pas Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ka ek baal hai jo ham ko Hazrat Ans ya unke ghar walon k jariye hasil hua hai tou Hazrat Ubaida ne farmaya ki mere pas Huzoor ka ek baal hona mere liye duniya aur is k sare saaz w saman se zyada Mahboob W pasandeeda hai.

Ref ( Bukhari Jild , 1 Safah . 29 ) 

☆ Is Hadees ko padh kar andaza lagaiye ki Huzoor se sahaba ko kis darja Mohabbat thi ki aap k ek baal ko kayanat kee sari daulaton se pyara samajte is bare mein ek aur Hadees Mulahiza farmaiye 

HADEES NO 04


Hazrat Ans Razi'allahu ta'ala anhu farmate hai ki jab Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne sar k baal mundae tou aap k baal hasil karne walon mein sab se pahle Hazrat Abu TaLha they..

Ref ( Bukhari Jild , 1 , Safah 29 )

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Download App  http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen









No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.