Seerat ul anbiya - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Seerat ul anbiya

SEERAT UL ANBIYA

HAZRAT AADAM ALAIHIS'SALAM KEE PRASTH

Naqal hai'n ki Hazrat Aadam Alaihissalam kee paidaish ke waqt Farishtey aapas mein kahtey they ki Allah ta'ala khak se paida kar ke jis hasti ko khilafat kee gaddee par bithayega, tou wah khuda ke nazdeek hamse zyada azeez na hoga aur gaib ke janne wale ke darbar mein hum jo din-rat rahtey hai'n,hame ummed hain ki hamara ilm usse zyaada hoga fir haq ta'ala ne tamam cheezon ke naam Hazrat Aadam Alaihissalam ko sikhla diya farishtey ko hukm diya ki agar tum sacche ho tou is cheezon ke naam batao farishtey jawab na de sake apni galti mantey hue bole paak hai'n too, hum to sirf utna hee jantey hai, jitna toone sikhaya aur tujhse badhkar janne wala kaun hai'n! 

Tab Allah ta'ala ne Aadam Alaihissalam ko zahiri aur batini kamal se aarasta "susjjit" kiya aur uski izzat ko badhane ke liye farishton ko jo Hazrat Aadam Alaihissalam ke takht ke charo taraf lainon me adab ke sath khade  they hukm diya ki Aadam ko sajda karo tamam farishto'n ne Hazrat Aadam Alaihissalam ko sajda kiya, magar Iblees ne inkar kar diya aur bola ki main Aadam se behtar hoon isliye ki mujhe aag se aur Aadam ko Mittee se paida kiya gaya hai iblees ke is inkar se uspar fitkari padi aur use farishto'n ke sath se alag kar diya Hazrat Aadam Alaihissalam bahisht me rahne lage tabeeyat mein aaya ki koi unka sathi ho, zindagi ka sathi Hazrat par khawab ne galba kiya isi beech Allah ne apni qudrat se Aadam Alaihissalam ke pahloo se Hazrat hawwa ko paida kar diya jab wah jage to dekha ki ek paak-saaf aurat baithi hai'n,bshut khush huie poocha ki too kaun hai'n?

Hazrat hawwa ne kaha ki mai tere badan ka hissa hoon Allah ta'ala ne teri paslee se mujhe paida kiya hai'n kaha jata hai'n ki Hazrat hawwa babut hee khoobasoorat thi Hazrat kee khusi ka thikana na tha Hazrat Hawwa ko pakar Sajd-e-Sukr ada kiya Allah ta'ala kee taraf se arsh ke uthane wale aur Aasmani farishto'n ke samne in dono ka nikah hua fir in donon ko hukm hua ki tum sab isi bahisht me raho jo chaho khao magar us ped ke nazdeek mat jana ishara gehoo'n ke paudhe kee taraf tha iblees ne Aadam ko sajda nahin kiya tha aur wah nikal diya gaya tha aise upaye sochta ki kisi tarah Aadam Alaihissalam ko bahisht se nikale iske liye pahle wah mor ke paas gaya usse dosti ke aur kaha meri dosti ke haq tujh par sabit hai'n hum-tum ek makan mein rahtey they meri darkhwast tumsey yah hai'n ki mujhe apne bajoo par bithakar bahisht mein pahuncha do taki main apney dusman se badla le sakoon mor ne is kam ke karne se inkar kar diya aur kaha ki too yah baat sanp se kah..

Ref { Qassul Anbiya pg, 22,23 }

next post insha Allah

plz share to others also

www.zikr-e-nabi.com


No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.