Ikhteyar E Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Ikhteyar E Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam


Ikhteyar E Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam 


Hadees No 10


Hazrat Abu Huraira Razi'allahu ta'ala anhu farmate hain ki Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne irshad farmaya ki main baroze qyamat sab Insanon ka sardar hoonga aur sabse awwal main kabre anwar se bahar tashreef laoonga aur sab se pahle shafa'at farmane wala aur pahla shafa'at kubool kiya hua main hee hoon 

Ref ( Muslim Jild , 2 Bab Tafzeel Nabiena Ala Jameeil Khaliq , Ibne Maja Bab Zikrusshfa'at Safah 329 , Tirmizi  jild 2 , Abwabul Manaqib Safah 202 ) 

☆ Is Hadees kee sharah mein imame ajal Nauvi farmatey hain Huzoor Duniya w Aakhirat dono'n jaha'n mein sare Insanon k sardar hain lekin Hadees mein sirf qyamat ka zikr  is liye hai ki qyamat k din aap kee sardari w badshahat sab par jahir farma dee jayegi aur koie inkari na rahega.

HADEES NO 11


Hazrat Ans Razi'allahu ta'ala anhu se marwi hai ki Nabi e kareem Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam janab zainab se Nikah k nausha they tou meri Maa'n umme sulaim ne Khujoor ghee aur paneer ka halwa banaya aur ek bartan mein kar k mujh se kaha ki Ans is ko Huzoor kee khidmat mein le jao aur Arz karo Rasoolullah yah meri Maa'n ne aap kee khidmat mein thoda sa hadiya bheja hai aur unhon ne aap ko salam arz kiya hai chunanche main gaya aur maine yah kaha Huzoor ne irshad farmaya 

Ise rakh do aur jao hamare paas fala'n fala'n ko bula lao ,  jis ka Huzoor ne naam liya aur unhein bhi jo tumko mile yahan tak ki jab wapas lauta tou Huzoor ka ghar bhar chuka tha Hazrat Ans se poocha gaya ki kitni tadad thi unhon ne farmaya kareeban teen 300 Sao log they fir main ne Nabi Sallallahu ta'ala alaihi wasallam ko dekha aap ne halwe par hath rakh kar kuch padha jo Allah ne chaha , fir Huzoor das 10, 10 , das ko bulane lage wah is mein se khane lage Huzoor Inse farmatey they Allah ka naam lo aur har shakhs apne samne se khaye jab Sab ne kha liya tou Huzoor ne mujh se farmaya Ae Ans is ko uthao ,  jab maine dekha tou mujhko maloom nahin ki jab rakha tha tab zyada tha ya jab uthaya tab zyada tha...

Ref ( Bukhari Jild , 2 Kitabun Nikah, Bahul Hadaya Lil uroos Safah 775, Muslim Jild  , 1 , Bab Ziwaje Zainab Binte Jahash ,  Safah 461 ,  Mishkat , Bab File Mo'ajazat , Safah 538 )


HADEES NO 12


Hazrat Ubaee Ibne Ka'ab Razi'allahu ta'ala anhu farmate hain fir Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne jab mere dil mein paida hone wale waswase ko Jaanliya tou mere Seene par hath mara jis se main paseene-paseene ho gaya aur halat yah thi goya ki main khud e ta'ala ko dekh raha hoon fir wah Kaifiyat zayal ho gaee..

Ref ( Muslim , jild 1 , safah , 273 )

☆ kya shane ikhteyar hai Hazrat Ubaee Ibne Ka'ab k dil mein kurane kareem kee chand qir'aat k muta'alliq waswasa paida ho gaya tha Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne dil k is waswase ko fauran jaan liya aur apni khudadad qudrat se seene par hath maar kar jalwae ilahi dikhaee diya aur shukook w waswase kee dal dal se nikal kar iman se dil bhar diya aur wah Kaifiyat zayal farma dee..

HADEES NO 13


Hazrat Aaysha Siddiqa Razi'allahu ta'ala anha se marwi hai ki Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne irshad farmaya Ae Aaysha agar main chahoon tou mere sath sone k pahad chala kare.

Ref ( Mishkat, Safah 521 )

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com 

Download App  http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen









2 comments:

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.