Gaib ki baton bar iman - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Gaib ki baton bar iman


GAIB KI BATON PAR IMAN:

◆ ALLAH TA'ALA par aur tamam gaib umool par iman lana aur HAZRAT MUHAMAD SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki har khabar ko mushahada ke bagair mahaz unke etimad par yaqeeni taur par maan lena aur unki khabar ke muqable mein fani lazzato'n, insani mushshado'n aur Maddi tarjubo ko chod dena 

ALLAH TA'ALA, USKI SIFATE AALIYA USKE RASOOL AUR TAQDEER PAR IMAN 

Jab yahood wa nazara ne kaha ki hamara aur musalmanon ka qibla aik hai'n tou hum azab ke mustshiq kaise ho saktey hai'n?
To is khayal kee tardeed me ALLAH TA'ALA ne irshad farmaya.

Koi yahi neki "WA KAMAL" nahi ki tum apney munh mashriq ki taraf karo ya magrib ki taraf balki neki tou yah hai'n ki koie shakhs ALLAH TA'ALA ki zaat wa sifat par yaqeen rakhe aur { isi tarah } aakhirat ke din par, farishto'n par, tamam Aasmani kitabon aur NABIYO'N par yaqeen rakhe aur maal ki muhabbat aur apni hajat ke bawajood, rishtedaron, yateemo'n, miskeeno'n, musafiron, sawal karney walon aur gulamon ko azad karane mein maal de aur namaz kee pabandi kare aur zakat bhi ada kare aur in aqeedo aur amaal ke saath unke ye akhlaq bhi ho ki jab we kisi jayaz kaam ka ahad kar le tou is ahad ko poora kare aur we Tangdasti men, beemari mein aur ladai ke sakht wakht mein mustaqbil mizaaj rahne wale ho yahi we log hai'n jo sacche hai'n aur yahi we log hai'n jinko muttaqi kaha ja sakta hai..

Ref { Sure Baqr 177 }

ALLAH TA'ALA KA IRSHAD HAIN:
LOGON ! ALLAH TA'ALA ke un ehsanat ko yaad karo jo ALLAH TA'ALA ne tum par kie hain zara socho tou sahee, ALLAH TA'ALA ke alawa bhi koie khaliq hai'n jo tum ko aasman wa zameen se rozi pahunchata ho, uske siwa koie haqeeqi mabood nahi fir ALLAH TA'ALA ko chod kar tum kahan chale ja rahe ho?.

Ref { Gayi : 3 }

ALLAH TA'ALA KA IRSHAD HAIN:
Wah aasmano'n sur zameen ko bagair namoone ke paida karne wale hai'n, unki koie aulad kaha ho sakti hai'n, jabki unki koi BIWI hee nahin aur ALLAH TA'ALA hee ne har cheez ko paida kiya hai'n aur wahi har cheez ko janta hai'n..

Ref { An'aam :101

ALLAH TA'ALA KA IRSHAD HAIN:
Accha yah tou batao ki jo mani tum auraton ke riham mein pahunchate ho, kiya tum usse insaan banatey ho ya hum banane wale hai'n?

Ref { Surah Waqi'a : 63-64 }

next post insha Allah soon

plz share to others also

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.