Shane ala hazrat - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Shane ala hazrat

Aala hazrat imaam Ahmad raza ke khandan ka mokhtasar khaka 


(1) Aala hazrat imaam Ahmad raza 

(2) bin Hazrat maulana Naqi ali khan 

(3) bin maulana raza ali khan 

(4) bin maulana hafiz kazim ali khan 

(5) bin maulana shaah mohammad Aazam khan 

(6) bin Hazrat mohammad sa'adat yaar khan 

(7) bin hazrat saeedullah khan rahmatullah ta'ala alaihim ajmaeen 

(1) Hazrat mohammad saeedullah khan rahmatullah ta'ala alaih qalandhar mulk e afganistan ke ba'azmat qabilah ke the - hukumat e mugliya ke zamane me lahaur tashreef laye aur moa'azzaz uhdon par fayez rahe - lahaur ka sheesh mahal Aap ki jageer tha - phir lahaur se dehli tashreef laye ' us waqt Aap shash hazari uhdon par faye the - darbar e shahi se Aap ko shuja'at e janag ka khetab mila 

(2) Hazrat mohammad sa'adat yaar khan علیہ الرحمة والضوان ko hukumat e mugliya ne ek jangi mohim sar karne ke liye rohil khand bheja , fatahyabi ke baad farman e shahi pahuncha ke Aap ko is ilaqah ka sobah daar banaya gaya hai - lekin us waqt Aap bistar e wesal par the aur safar e Aakhrat ki tayyari farma rahe the - 

(3) Hazrat maulana Aazam khan علیہ الرحمة والرضوان baraili tashreef farma hue , kuchh din hukumat ke uhde wazarat par fayez rahe phir umoor e saltanat se bilkul alag ho kar ibadat w riyazat me mashgul rahne lage Aap tark e dunya farma kar shahar baraili ke mohalla memaran me iqamat farmaee wahi Aap ka mazar e paak bhi hai - Hazart maulana mohammad Aazam khan rahmatullah ta'ala alaih ka shumar saheb e karamat auliya me hai - 

Ref ( sawaneh Aala hazrat , page:88

next post insha Allah soon

plz share to others also

www.zikr-e-nabi.com

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.