Gaib ki baton par iman - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Gaib ki baton par iman

GAIB KI BATON PAR IMAN

Allah ta'ala ka irsaad hai'n:
Tamam khoobiya'n allah ta'ala hee ke liye hai jo aasmano'n ke rab aur zameeno'n ke bhi rab hai aur tamam jahano'n ke rab hai aur aasmano'n aur zameen mein har qism kee badaee unhee ke liye hai wahi zabardast aur hikmat wala hai

Ref { Surah, Jaasiya:36-37 }

Allah ta'ala ne apne rasool "sallallahu alaihi wasallam se irshad farmaya:
Aap yoon kaha keejiye ki Ae allah, ae tamaam saltanat ke mslik, aap mulk ka jitna hissa jisko dena chahe de dete hai aur jisse chahe cheen lete hai aur aap jisko chahe izzazat ata kare aur jisko chahe zaleel kar de, har qism kee bhalaee aap hee ke akhtiyar mein hai beshak aap har cheez par poori tarah qadir hai aap raat ko din mein dakhil karte hai aur aap hee din ko raat mein dakhil kartey hai'n yani aap baaz mausamo'n mein raat ke kuch hisse ko din mein dakhil kar dete hai'n, jisse din bada hone lagta hai aur baaz mausamo'n mein din ke hisse ko raat mein dakhil kar dete hai jisse raat badi ho jati hai aur aap jandaar cheez ko bejaan se nikalte hai aur bejaan cheez ko jaandar se nikalate hai aur aap jisko chahe beshumar rizq ata farmate hai 

Ref { Aale imraan : 26,27 }

Allah ta'ala ka irsaad hai'n:
Aur gaib ke tamam khazane allah ta'ala hee ke paas hai un khazano'n ko allah ta'ala ke siwa koie nahi janta, aur wah khushki aur tari ki tamam cheezon ko janta hai'n, aur darakht se koi patta girne wala aisa nahi jisko wah na janta ho, aur zameen kee tareekiyo'n mein jo koie beej padta hai'n, wah usko janta hai aur har tar aur khushk cheez pahle se allah ta'ala ke yahan lauhe Mahfooz mein likhi ja chuki hai aur wah allah ta'ala hee hai jo raat mein tumko sula deta hai aur jo kuch tum din mein kar chuke ho usko janta hai fir ( allah ta'ala hee ) tumko neend se jaga deta hai, taki zindagi kee muqarrar: muddat poori kee jae aakhirkar tum sabko unhi kee taraf wapas jana hai wah tum ko un aamal kee haqeeqat se aagah kar dega jo tum kiya karte they...

Ref { Surah: An'aam: 59,60 }

Allah ta'ala ne apne rasool sallallahu alaihi wasallam se irshad farmaya:
Aap unse kahie, kiya mai allah ta'ala ke siwa kisi sur ko apna madadgar bana loon jo aasmano'n aur zameen ke khaliq hai aur wahi sabko khilata hai aur unhe koi nahi khilata ( ki wah zaat un hajato se pak hai )

Ref { Surah: An'aam:14 }

next post insha Allah soon

plz share to others also

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.