Karamat e sahaba - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Karamat e sahaba


Karamat e sahaba

AFZALUL AULIYA 

 Tamam ulmae ummat wa bade ulma ka is masla par ittefaq hai'n ki SAHABA-E-KIRAM RAZI'ALLAHU TA'ALA NANHUM "AFZALUL" hai'n ya'ani qayamat tak ke tamam AULIYA agarche wah darja-e-wilayat kee buland tareen manzil par pahunch jaye magar hargiz hargiz kabhi bhi wah kisi sahabi ke kahalate sikayat tak nahin pahunch saktey khudawande KUDDOOS ne apney HABEEB ﷺ kee shamae nuboowat ke parwano'n ko martabae vilayat ka wah baland wa bala muqam ata farmaya hai'n aur un muqaddas hastiyon ko aisi aisi badi badi karamato'n se sarfaraz farmaya ki doosre tamam AULIYA ke liye us bulandi ko taswwar bhi nahi kiya ja sakta us mein shak nahin ki hazrate SAHABA-E-KIRAM RAZI'ALLAHU TA'ALA ANAHUM se is qadar zyada karamato'n ka sudoor nahi hua jis qadar ki doosre AULIYA-E-KIRAAM se karamate manjoor hai'n lekin wazah rahe ki karamat ka zyada hona bada honey ki daleel nahi kiyonki vilayat asal "VASTAV" mein kurbe ilahi ka naam hai'n yah kurbe ilahi jis ko jis qadar zyada hasil hoga usi qadar us kee vilayat ka darja baland hoga SAHAB-E-KIRAM choonki nigahe nuboowat ke anwaar aur faizane risalat ke fuyooz wa barkat se maala maal hai'n isliye bargahe khudawandi mein un bujurgon ko jo kurb wa martaba hasil hai'n wah doosre AULIYA ALLAH ko hasil nahi is liye agarche SAHAB-E-KIRAM se bahut kam karamate jahir huie lekin fir bhi SAHABA-E-KIRAM ka martaba doosre AULIYA-E-KIRAAM se bahut zyada afzal wa aala aur baland wa bala hai'n bahar haal agarche ta'adad mein kam sahi lekin fir bhi bahut se SAHABA-E-KIRAM se karamato'n ka sudoor wa juhoor hua hai'n chunanche hum apni post mein kuch SAHABA-E-KIRAM kee chand karamat ka byaan tahreer karne kee sa'aadat hasil kartey hai'n taki ahle imaan pyare HABEEB ﷺ kee shamae nuboowat ke un parwano'n ki karamat ke iman afroz tazkiro'n se apni duniyae dil ko muhabbat wa aqeedat se bhar le aur dushmane sahaba ya tou aaftabe risalat ke noor se chamakne wale un raushan sitaron se hidayat ki roshni hasil kare ya fir apni gusse kee aag mein jal bhun kar jahannam ka aag ban jae..

Ref { Karamat e sahaba pg 27,28 }

next post insha Allah soon

plz share to others

www.zikr-e-nabi.com

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.