Durood sharif ki fazilat
DUROOD SHARIF KI FAZILAT
Salato salam ka saboot quran majeed se
ان الله و ملئکتہ یصلون علی النبی یایھا الذین امنوا صلوا علیہ و سلموا تسلیما
Beshak Allah aur us ke farishte darood bhejte hain us ghaib batane wale (Nabi ) par aye imaan walon ! un par darood aur khub salam bhejo
Ref ( parah 22 ruku 4 , Kanzul imaan
Is Aayat e karimah me Allah ta'ala ne imaan walon ko 2 kaam karne ka hukm diya hai
Ek piyare nabi صلی الله علیہ وسلم par darood bhejna
Dosra salam bhejna
Allah ta'ala ke is hukm ko sunkar qalb e momin me khushi paidah hoti hai - aur imaan ki raushni se jinke dil manawwar w mojallah hain unhon ne Apne Aaqa w maula , sultan e madinahصلی الله علیہ وسلم ki bargah e karam me darood w salam ka tohfah kal bhi pesh kiya aur Aaj bhi pesh karte hain aur ye mobarak tariqah qayamat tak balke qabr w hashr me bhi jari rahe ga
میں وہ سنی ہوں جمیل قادری مرنے کے بعد
میرا لاشہ بھی کہے گا الصلوة و السلام
allahumma salle ala sayyedina muhammadiwn wa ala aali sayyedina muhammadin kama sallai-ta ala sayyedina ibrahee-ma wa ala aali sayyedina ibrahee-ma inna-ka hameedum majeed allahumma barik ala sayyedina muhammadiwn wa ala aali sayyedina muhammadin kama barak-ta ala sayyedina ibrahee-ma wa ala aali sayyedina ibrahee-ma inna-ka hameedum majeed
next post insha Allah soon
Plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
next post insha Allah soon
Plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
No comments