Durood sharif ki fazilat - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Durood sharif ki fazilat

Durood sharif ki fazilat

IMDADE MUSTAFA "SALLALLAHU TA'ALA ALAIHI WASSALLAM"

EK gareeb shakhs tha jis par panch Sao 500, dirham ka qarza tha use ek raat sarkare Madeena "Sallallahu Alaihi wassalam" kee khwab me ziyarat huI usne sarkar "Sallallahu Alaihi wassalam " kee khidmat me apni paresani arz kee Sarkar "Sallallahu Alaihi wassalam " ne irshad farmaya ,  tum abul hasan kaisani Razi'allahu ta'ala anhu  ke pas jao aur meri taraf se use kaho ki wo tum he panch Sao 500, dirham de wo nishapur me ek sakhi mard hain har saal das hazar gareebon ko kapde deta hain wo agar tum se koie nishani talab kare to kah dena tum har roz darbare risalat "Sallallahu Alaihi wassalam" me Sao bar Durood paak ka tohfa pesh kartey ho magar kal tumne duroode pak nahin padha 

Wo shakhs bedar hua aur abul hasan kaisani Razi'allahu ta'ala anhu  ke pas pahunch gaya aur apna hale zaar byaan kiya sath hee sarkar "Sallallahu Alaihi wassalam" ka paigam bhi sunaya to abul hasan Razi'allahu ta'ala anhu  sunte hee wajd me aa gae aur takht se utar kar bare ilahi Az'wazal me sajd-e-shukr Ada kiya, fir kaha Ae bhai! mere aur Allah Az'wazal ke darmiyan ek raaz tha, doosra koie is raaz se waqif na tha waqiee kal mai duroode pak padhne se mahroom raha tha  fir Abul hasan kaisani Razi'allahu ta'ala anhu  ne apne gulam ko hukm diya ki is ko panch Sao ke bajae do hazar panch Sao darham de do, fir kaha Ae bhai panch Sao dirham sarkar "Sallallahu Alaihi wassalam" ke hukm kee ta'ameel me pesh kar raha hoon ek hazar dirham Madni Aqa "Sallallahu Alaihi wassalam" kee taraf se paigam aur bisharat lane ka shukrana hai aur ye ek hazar dirham aap ke yahan qadam ranja farmane ka nazrana hai majeed kaha ki Aap ko aainda jab kabhi koie zaroorat pesh ho mere pas zaroor tashreef laya kare..

Ref ( Ma'aarijun'nuboowwat )

Mere bhaiyon aur Bahnon ! 

Allah az'wazal ke karod ha karod ahsaan ki is ne hame apne pyare habeeb "Sallallahu Alaihi wassalam" kee ummat me paida farmaya ,  jo apni ummat ke tamam ahwaal ko jantey hain ummat kee pareshaniyon  ko bhi jantey hain madad aur dastgeer bhi farmate hai chunanche hazrate shah Abdul Azeez muhaddis dehalwi Razi'allahu ta'ala anhu  tafseere Ajeezi me aayate mubaraka  
Yani aur ye Rasool Sallallahu Alaihi wassalam  tum par gawah hai ke tahat farmate hai 

next post insha Allah soon 

Plz share to others also 

Www.zikr-e-nabi.com 

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.