Gaib ki baton bar iman - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Gaib ki baton bar iman

GAIB KI BATON PAR IMAN 

Hazrat ibne Abbas Razi'allahu ta'ala anhu se riwayat hain ki hazrat Jibraeel alaihis salam ne RASOOL'ALLAH Sallallahu Alaihi wassalam  se arz kiya Mujhe Bataye Iman kya hai?
Nabi-e-Kareem Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne irshad farmaya iman "kee tafseel" Yeh hai ki tum Allah Tala akhirat ke din ke baad dubara zinda hone par iman Lao Jannat dozakh aur Aamal ke tarazoo par iman Lao achchi aur buri taqdeer par iman Lao hazrat Jibraeel alaihis salam ne arz kiya: jab main in tamam baton par iman le aaya to ( kiya main iman wala ho gaya?
Aap Sallallahu Alaihi wassalam  ne irshad farmaya : jab tum in cheezon par iman le aae to tum iman wale ban gae.

Ref ( Musnad Ahmed )

Hazrat Aboo hurairah Razi'allahu ta'ala anha se riwayat hain ki Nabi-e-Kareem Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam  ne irshad farmaya : iman yah hain ki tum Allah ta'ala ko, USKE farishton ko aur ( aakhirat me  ) Allah ta'ala se milne ko aur us ke Rasoolon ko haq jano aur haq mano  ( aur marne ke baad dobara ) uthane Jane ko haq jano haq mano 

Ref ( Bukhari )

Hazrat umar bin khattar Razi'allahu ta'ala anhu se riwayat hain ki Nabi-e-Kareem Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam  ne irshad farmaya : jis shakhs kee maut is hal me aae ki wah Allah ta'ala par aur qiyamat ke din par iman rakhta ho, us se kaha jayega ki tum jannat ke aath 8 darwazon me se jisse chaho dakhil ho jao 

Ref  ( Musnad Ahmad ,  Majmauzzawaid )

next post inshaAllah soon 

Plz share to others also 


No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.