Gaib ki baton par iman - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Gaib ki baton par iman

GAIB KI BATON PAR IMAN 

♡Hazrat Mossa Ash'ari Razi'allahu ta'ala anhu riwayat farmatey hain ki Nabi-e-Kareem Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne ek mauqe par hame panch batey irshad farmaee :

(1)Allah ta'ala na sota hain aur sona unki shan ke munasib hain 

(2)Rozee ko kam aur kushada farmata hai'n 

(3)unke pas raat ke Aamal din se pahle

(4) Aur din ke Aamal raat se pahle pahunch jatey hai 

(5)unke aur makhlooq ke darmiyan, parda Unka noor hai agar we yah parda utha de tou jahan tak makhlooq kee nazar jae unki zaat ke anwar sabko jala dale

Ref ( Muslim )

♤Hazrat ibne Abbas Razi'allahu ta'ala anhu  se riwayat hain ki Nabi-e-Kareem Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne irshad farmaya : Allah ta'ala ne jab se israfeel Alaihis'salam ko paida farmaya hai wah dono'n pawn Bandar kie khade hai nazar oopar nahi uthatey unke aur parwardigar ke darmiyan noor ke sattar 70 parde hai parda aisa hai ki agar israfeel uske qareeb bhi jae to jakar rakh ho jae.

Ref ( Masabeehussunn: 32/4 )

Hazrat jurarah bin auf Razi'allahu ta'ala anhu  se riwayat hain ki Nabi-e-Kareem Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne Hazrat Jibraeel alaihis salam se poocha kiya tumne apne rab ko dekha hai? yah sunkar Jibraeel alaihis salam kanp uthe aur arz kiya :Ae Muhammad Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ! mere aur unke darmiyan to noor ke sattar 70 parde hai, agar mai kisi ek ke nazdeek bhi pahunch jaoon to jal jaoon.

Ref ( Masabeehussunn  )


♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

  


No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.