Karamat e sahaba - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Karamat e sahaba


KARAMAT E SAHABA 

HAZRAT  UMAR FAROOQE  RAZI'ALLAHU TA'ALA ANHU 

DARYA KE NAME KHAT:

Riwayat hain ki Ameerool Momineen haraty umar farooq Razi'allahu ta'ala anhu ke daure khilafat me ek martaba misr ka dariyae neel sookh gaya misr ke rahne walon ne misr ke gawarnar amr bin Aas Razi'allahu ta'ala anhu se fariyad kee aur yah kaha ki misr kee tamam tar paidawar ka daro madar usi dariyae neel ke pani par hain Ae ameer ! ab tak hamara yah dastoor raha hain ki jan kabhi bhi yah darya sookh jata tha to ham log ek khubsoorat kanwari ladki ko is dariya me zinda dafan karke dariya kee bhet chadhaya kartey they to yah dariya jari ho jaya karta tha

Ham kiya kare? gawarnar ne jawab diya ki Arhamurrahimeen aur rahmatul lil'Aalameen ka rahmat bhara deen hamara islam hargiz hargiz kabhi bhi is be rahmi aur zalimana kaam kee ijazat nahin de sakta is liye tum log intezar karo mai darbare khilafat me KHAT likh kar poochta hoon waha se jo hukm milega ham us par amal karenge chunanche ek qasid gawarnar ka KHAT lekar madeena munawwara darbare khilafat me hazir hua Ameerool Momineen ne gawarnar ka KHAT padh kar dariyae neel ke name ek KHAT tahreer farmaya jis ka mammon yah tha ki 

"AE DARIYAE NEEL! agar too khud bakhud jari hua karta tha to ham ko Teri koie zaroorat nahin Hain aur agar too Allah ta'ala ke hukm se jari hota tha to fir Allah ta'ala ke hukm se jari ho ja" AMEEROOL MOMINEEN ne is KHAT ko qasid ke hawala farmaya aur hukm diya ki mere is KHAT ko dariyae neel me dafan kar diya jae chunanche Aap ke farman ke mutabiq gawarnar misr ne us KHAT ko dariyae neel ke sookhe baloo me dafan kar diya khuda kee shan ki jaise hee Ameerool Momineen ka KHAT dariya me dafan kiya gaya fauran hee dariya jari ho gaya aur us ke baad fir kabhi sookh nahin.

Ref ( Hujjatullah jild 2, safa: 861 w izalatul khifa maqsad namber 2,safa 166 )

TABSERA: is byaan se maloom hua ki jis tarah HAWA par Ameerool Momineen Hazrat umar Razi'allahu ta'ala anhu kee hukoomat thi usi tarah dariyon ke paniyon par bhi aap kee hukmarani ka parcham lahara raha tha aur dariyao ki rawani bhi aap ki farma'n bada w khidmat guzaar thi 


♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

  

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.