Seerat ul anbiya - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Seerat ul anbiya

SEERAT UL ANBIYA 

HAZRAT SHEES ALAIHIS'SALAM 

Jab Hazrat Aadam Alaihis'salam HABEEL ke gam me be-qarar rahtey they tou Allah ta'ala ne Jibraeel alaihis salam ko bhejkar Unhe tasalli dee thi ki gam na karo, ek behtar beta doonga jiski nasl se hi aakhiri Nabi Hazrat Muhammad Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam paida honge jo poori duniya ke sardar honge chunanche habeel ke marne ke panch saal baad hazrat Shees Alaihis'salam paida hue, jo hazrate Aadam Alaihis'salam hee ki tarah khoobsoorat aur nek they hazrat Aadam Alaihis'salam unse muhabbat bhi bahut kartey they unhone intiqal ke waqt unhi ko apna jansheen banaya aur waseeyat kee ki hazrat Nooh ke zamane me jab toofan ka hadsa hoga, to tum agar us zameen ko pao to meri haddiyon ko kashti me rakhwa dena, taki garq na hone paye ya fir apni Aulaad ko waseeyat kar jana 

Hazrat Shees Alaihis'salam apne baap ki zabani aksar bahisht ke halat suna kartey aur lazzat liya kartey wah aasmani kitabon kee batey bhi poocha kartey usi waqt se jannat pane ki dhun thi, iseeliye wah Allah ko khush karne ke liye behad ita'at wa farmabardari me lage rahtey bhalai ke kaam kartey insaniyat kee khidmat kartey  hazrat Shees Alaihis'salam ke zamane me Aulaade Aadam do hisson me taqseem ho gayi thi kuch to Shees ka kaha matey aur kuch qabeel ki batayi raah par chaltey hazrat Shees ki naseehat se inme  se kuch to seedhe rastey par aa gae aur kuch nafarmani kee raah par chaltey rahe 

Jab unki umr 900, Sao 12 barah wars ho gayi to intiqal farma gae hazrat Shees Alaihis'salam ki kuch naseehaton me yah hain ki sachcha momin wah hai jisme ye khoobiyan ho 

☆Ek ,wah jo khuda ko pahchan gaya ho

☆Dusre ,  Nek aur bad ko jaan gaya ho

☆Teesre, waqt ke badshah ka hukm baja late ho

☆Chauta, Maa'n-Baap ka haq pahchanta ho unki khidmat karta ho

☆Panchwa, Ristedaron me se talluqat jodta ho, ya'ani apnon se neki ka bartaw karta ho

☆Chatha ,  gusse ko had se zyada na badhata ho 

☆Satwa, Muhtajon aur miskeenon ko sadqa deta ho aur un par taras khata ho

☆Aathwa ,  Gunahon se parhez karta ho aur museebaton me sabr karta ho 

☆Nawa, Allah kee dee huee nematon ka shukr Ada karta ho...

Ref ( Qanssul Anbiya : pg 31,32 )



♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

  

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.