Seerat ul anbiya - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Seerat ul anbiya


HAZRAT HOOD ALAIHIS'SALAM 


Allah ta'ala ne hazrat hood Alaihis'salam ko qaume aadm kee taraf bheja us qaum ke log lambe qad aur chaude jism wale they unme ka sabse lamba 100 gaz ka aur thegna 60 gaz ka aadmi tha butparasti ka chalan bahut zoron par tha khuda ko bula baithe they patthar kat-kat kar pahadon mein khoobsoorat-se-khoobsoorat makan banatey they, lekin patthar ke kam mein ye jitne mahir they, tune hee patthar dil bhi they fir bhi unme ek giroh bhale logon ka bhi tha, jo Allah par iman laya tha, lekin zalimon ke dar se apna iman chipaye hue tha jab Hazarat hood Alaihis'salam kee waz wa naseehat khulkar hone lagi, tou ye bhale log hazrat hood ka poora sath dene lage hazrat hood ka paigam jyon-jyon failta gaya, kafiron ki mukhalafat bhi tez ho gayi in bhale logon ne is ki ittila hazrat hood ko de dee hazrat hood ne Allah ke huzoor in dushmanon ke liye bad-dua kee chunanche barsat nahin hue , baag aur kheti sab sookhne lagi yah akal saat 7 wars tak chalta raha, logon ka bura hal ho gaya bhookhe pyase marne lage mauqa munasib samajh kar hazrat hood Alaihis'salam ne Unhe samajhna shuroo kiya aur farmaya ki iman lao,  apne aapko duniya kee in pareshaniyon se bachao ye sab pareshaniyan tumhare kufr kee wajah se tum par aayi  hai 

Lekin kafiron ne hazrat hood Alaihis'salam kee naseehaton par kan na dhara ,apne kufr par date rahe aur yahi kahtey rahe, ham tere kahne se buton ko na chodenge aur apne baap-dadaon ke deen se munh na modenge  us zamane ka qayada tha, jise kisi badi mushkil ka samna hota tha tou wah Makka me kabe mein jakar dua karta tha jo qabool ho jati un dinon aad qaum ke Alawa amalaqa kee qaum Makka mein rahti thi, jo apne ko Makka ka sardar kahi thi jab aad qaum log in pareshaniyon ke shikar hue to unke sattar 70 sardar waha'n jane ko taiyar ho gaye ki waha'n jakar barish kee dua karen ye log jab lamba safar tai karke Makka pahunche tou mawiya bin baqr ke ghar mein utare usne in sab ki khane aur sharab kee aisi zordar dawat kee aur naach -gane kee aisi mahfil jamayi ki ye apney aane ka maqsad hee bhool gaye bahut dinon ke baad unhen apni qaum kee yaad aayI aur apne aap par raat-din lanat-malamat kartey hue we sab dua mein lag gaye aur kurbaniyan chadhani shuroo kee lekin fir bhi koie nateeza na nikla in sardaron mein murad bin madan chipa hua musalman tha,hazrat hood Alaihis'salam par uska poora iman tha usne khulkar kah diya ki jab tak tum sab hazrat kee baton ko nahin mange , apne maqsad ko nahi hasil kar sako ge in logon ne uska bhi baeekat kar diya aur apne taur par dua kartey rahe

Itne mein teen tukde badal ke dikhayi deye-safed , kala , laal aur un badon mein se aawaz aayi ki inme se koie ek tukda Ikhtiyar kar lo, iske baad khuda ke hukm ka intezar karo in logon ne kala badal, pani ke badal ka roop samajh kar apna bana liya ki aawaz aayi ki tumhen ab kali raakh baqi na chodegi ,  balki ab aad qaum dhool-dhool ud jayegi Allah ta'ala ke hukm se wah kala badal aad kee qaum kee taraf badha log kala badal dekh kar bahut Khush hue, lekin unke man mein yah wichar aa hee na saka ki yah azaab ka badal hai hazrat hood ke ye inkarI hazrat hood ka mazak udane ke liye kaha kartey they- bada sachcha banta hai to le aa na Allah ka azaab !  Hum teri baat kaha maan rahe hai lekin Unhe kiya khabar thi ki jis haqeeqat ko we mazaq samajh rahe hai , wah haqeeqat bankar samne aa gayi hai Jab hazrat hood Alaihis'salam ne dekha ki azaab aa gaya tou Allah hee ke hukm se apne char hazar imanwalon ko sath liya aur bahar nikal kar unse kaha ki yah dayara jo mainey ungli se tumhare charon taraf khinch diya hai aur Tumhen khuda hee ke hukm se usme bitha raha hoon taki tum is azaab se bache raho dekhte-dekhte kala badal aandhi -tufan mein badal gaya qaum ke log ghabra gaye tufan itna zabardast tha ki insan tak hawaon mein ud-udkar kafi doori par patak-patak uthatey ,haddiyan choor-choor ho jatin log ghabrakar gharon kee taraf bhage, taki sar chipa sake aur toofan ki is tezi se apne ko bacha sake

Jab makan aur ghar girne-dahane lage tou dab-dab kar log marne lage saat 7 din aur raat aandhi-toofan ka yah silsila chala tabahi wa barbadi ka nanga nach hota raha aur aad qaum Allah ta'ala ke azaab ka shikar hokar rah gayi haan hazrat hood Alaihis'salam aur unke sathi isse bache rahe Jab azaab ka silsila khatm hua tou hood Alaihis'salam aur unke sathiyon ne ek taraf ko apne rahne ko makan taiyar kiye aur fir se rahne -shane lage

Hazrat hood Alaihis'salam  464 , saal ke hue tou unka inteqal ho gaya

Inna lillahi wa Inna ilahi rajioon

SHADDAD KA HAAL


Tareekh likhne walon ne shaddad ka zikr hazrat hood ke bayaan ke baad kiya hai, isliye ki uska talluqat bhi aad qaum hee se tha, taki iman wale usse naseehat hasil kare Aad qaum mein shaddad aur shadeed do bhai they, jo bade daulatmand badshah they shaam ( seeriya ) mulk mein in ki badshahi mani huie badshahi thi shadeed aur uske log , agarche shirk me mubtala they aur kharab aqeeda rakhtey they , lekin uske insaf se Sher aur bskri ek jagah paani peete the kaha jata hai ki usko adalat Mein do aadmi Aaye in donon Mein ek ne bataya ki Maine is aadmi se Zameen ka qit'aa khareeda aur qeemat dekar uspar qabza kar liya fir Maine us Zameen Mein ek khazana paya jo main isko dena chahata hoon isliye ki Maine sirf Zameen khareedi hai, khazana nahi khareeda hai, lekin yah leta nahin doosre ne kaha , Maine tou Zameen bech Dee, ab Zameen aur jo kuch isme hai , sab iska hai isliye khazana bhi isi ka hai, main use kiyon loon ? 
Lekin idki samajh Mein yah choti see baat nahi aati kaisa tha yah ajeeb wa gareeb muqadma !
Adalat ne poocha , yah bataon , tum donon ke pas koie aulad hai?
Ek ne kaha, ek ladka hai, doosre ne kaha , ek ladki hai adalat ne faisla sunaya , tum donon ko aapas Mein byah do aur yah khajana in donon ke hawale kar do 
Aisa tha wah insaafpasand raaja ! Hazrat hood Alaihis'salam ne usse bhi iman lane ki baat kahi thi, par wah iman na laya aur apne baap-dada ke dharm shirk par hee mara 
Shadeed ke baad shadeed gaddi par baitha hazrat hood Alaihis'salam, ne usse bhi iman lane kee baat kahi bola, agar maine tumhare deen qabool kar liya tou uska fayada kiya hai ? Hazrat hood ne farmaya , Allah tumhe iske azr ke taur par jannat ata farmayega , uski raatey tum par nazil hogi shaddad bola, yah sab kuch nahin main tou khud apni jannat banaoonga aur din-raat wahan aish manaoonga .
Fir shaddad ne jannat banane ka program bana liya poore mulk  se sona-chsndi heere-jawahar, mushk-anbar aur marwareed ke der lag gaye ek khoobsoorat jagah bhi talash kar Lee gayi mahir karigar jama kiye gaye aur ek mazboot imarat kee neenw daal Dee gayi ek gareeb kee ummeedon se bhi badi lambai , kareemon kee himmat se bhi zyaada bulandi wali deeware taiyar hone lagi ba intiha khoobsoorat aur saaf -suthri imarat taiyar hone lagi ki aaj tak aisi imarat labhi taiyar na huie 
Deewaron Mein sone-chandi kee eent chuni gayi thi chat us kee sone ke patton se sajayi gati thi, stoon uske billauri the aur har jagah bade sundar dhang se jode gaye the unki nahron Mein ret ke bajaye anmol moti bichaye gaye they, uske pedon Mein mushk aur anbar bharwa diya tha jis waqt khushk hawa in pedon se hokar guzarti thi, to rahne walon ke dimag khushboo se bhar jatey the uski Zameen ko mitti se patne ke bajaye mushk wa anbar se bichawaya tha barah hazaar kangoore uske mahalon ke charon taraf banwaye gae the kangooron ko surkh sonon se sajaya gaya tha mahal Mein khoobsoorat se khoobsoorat ladkiyon ko lakar thaharaya  
Yah manmohak baag panch sao 500 saal Mein taiyar hua ,poore mulk ke jawaharat isme lag gaye
Jab mahal bankar taiyar ho gaya, tab shaddad ko iski khabar dee gayi shaddad ek bhari fauz le kar chala ki wah us jannat ko dekhe aur wahan qiyam kare

Abhi wah ek falarg hee chala tha ki wahin daal diya irada tha ki ab agle din safar shuroo hoga isi beech use ek hiran Nazar aaya uske pawn sone ke the ,seeng sone ke aur aankhen yaqoot kee thin shaddad use dekh kar hairan rah gaya , akela hee ghode dauda kar uske peeche chal pada jab lashkar se bahut door nikal gaya to use ek bhayanak qism ka sawaar Nazar aaya usne poocha
Kiya is imarat banane se tujhe amaan mil jayega us too isme rahkar hsmesha-hamesha ke liye aish kar.karna chahta hai?
Shaddad kanp gaya, poocha too kaun hai?
Bola, main malkul maut ( maut ka farishta ) hoon shaddad ne gid-gidakar usse arz kiya ,mujhe ek nazar apni us jannat ko dekh lene de , fir uske turant baad hee meri jaan nikal Lena
Bataya ,yah to rab ka hukm hai main to ek lamha bhi muhalat dene se majboor hoon
Yah kah kar usne uski jaan nikal Lee, jism be-jaan hokar rah gaya tamanna dil kee dil Mein dhari rah gayi 
Tareekh kee kitabon Mein likha hai ki ek baar Allah kee or se izrael Alaihis'salam se poocha gaya ki too muddaton se logon ki rooh qabz karta Hain, bata kiya kabhi toone kisi par raham bhi kiya hai aur uski jaan nikalate waqt tujhe daya bhi aati hai?
Bola ,khudawandan ! Main to sab par daya karta hoon

Farmaya ,kis par zyada daya kee

Tab izrael Alaihis'salam ne bataya ki ek din ek kashti ko maine aap hee ke hukm se Tod diya tha aur mauzon Mein ghirkar wah kashti hamesha ke liye tabah ho gayi, uspar sawar tamam log bhi khatm ho gaye , han sirf ek aurat bacha Lee gayi,jiske pet Mein bachcha tha
Aurat ko farishton ne ek jszeere Mein pshuncha diya , wahin usne ek ladka janm diya aapka hukm hua ki us aurat ki jaan nikal lo aur ladke ko wahan us aurat ke pahaloo mein daal do us waqt meri aankhon se asnsoo nikal Aaye ki is ladke ka kiya hoga ,yah tou tadapkar mar jayega ya ise darinde kha jayenge .khudawanda! Yshi sochkar main ro diya mujhe ek tou us bachche par daya asyi thi aur doosre ab aayi ,jab shaddad kee rooh qabz karne ka hukm diya gaya ki us bechare ne kaee sao saal me to imarat banwayi thi, lekin wah use ek nazar bhi na dekh saka aur uski hasrate dil kee dil hee me rah gayi
Allah ne farmaya ki yah shaddad wahi ladka hai jispar toone daya kee thi maine uski ma'n ke marne ke baad sooraj aur hawa ko hukm kar diya tha ki ise apni garmi aur sardi se mat satana , balki foolon ke patte udakar uske waste farsh banao fir uske donon angoothon se doodh aur shahad kee nshar bahayi is tarah maine uski jaan bachayi ,pala , posa ,yahan tak ki use hukoomat ka malik bana diya itna sab karne ke baad bhi meri nashukri karne laga, balki khud khuda banne ka dawa kar baitha us par to gazab nazil hona hee chahiye tha..

Naoozubillahi min gazbillah

Ref ( Qanssul Anbiya pg, 40,41,42,43,44,45,46 )



♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

  

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.