Deeni maloomat - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Deeni maloomat


DEENI MALOOMAT 

AAO DEEN PAR CHALE 

Deen wala kabhi har mein nahi 

Jin logon ne duniya ko apna maqsad bana rakha hai wah aksar apne maqsad mein nakam rahte hai ki kabhi nafa aur fayada tou kabhi nuqsaan aur ghata bhi jeetne kee khushiya aur mithaiyan hain tou kabhi harne par ruswaeeyan aur taliyan gam aur sadme balki nafa aur fayade wale kam hotey hai nuqsaan aur ghate wale zyada fatah pane aur jeetne wale kam nakam aur harne wale zyada lekin Allah aur Rasool ke liye jo karta hai wah kabhi harta nahi niyat mein khuloos hai tou sawab kahin nahi jata aur Allah dhoka dene se paak hai.

Hadeese pak mein hai Allah ke Rasool Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam farmatey hain 

Allah ta'ala farishto ko hukm deta hai ki mera banda gunah ka irada kare tou sirf irada se uske name-e-a'amal mein gunah mat likho aur wah jab gunah kar le tou ek hee gunah likh do aur neki ka jab wah irada kare tabhi likh do aur jab wah neki kar le tab usko dabal kar do 

Ref ( Muslim jild 1, safah 78 )

Yani Allah ke liye jab banda kuch karta hai tou wah khwah apne zahiri maqsad mein bhale hee kamyab na ho lekin sawab uske name-e-a'mal me sirf niyat aur irade hee se likh diya jata hai tou zahir hai wah kabhi har me nahi kiyon ki duniya ka kuch bhi agar hath aaye lekin uska maqsad sawabe aakhrat aur Allah kee raza hasil Karna tha wah mil gaya uska koie kaat nahi sakta 

Allah ke liye karne wale kisi baat kee parwah nahi karte

Jo Allah ko razee karne jannat aur sawab hasil karne ke liye koie koshish mehnat ya amal karta hai usko is baat kee fikr nahi rahti ki koie uskI izzat kar raha hai ya nahi uski tareef ho rahi hai ya nahi uske karnamon koshishon aur kurbaniyon ko duniya wale jantey hai ya nahi uske liye Allah ka janna kafi hai aur sahi ma'an me deen par aise hee log chal saktey hai aur yahi log deendar bankar rah saktey hai jinhe is baat kee parwah nahi hoti ki koie unhe bewakoof kah raha hai ya samajhdar unki tareef ho rahi hai ya burai wah imam hai ya muqtadi wah Masnad , mimbar wa istej par baithe hai ya neeche boriye wa tat par wah Khateeb wa mukarrir w shayar hain ya zameen par baith kar sunne wale wah ameer hai ya ri'aaya faqeer hain ya badshah unhe koie janta manta hai ki nahin wah bhid bhad majma'e me hai ya Akeley aur tanha jo kuch wah kah rahe padh rahe hain bol rahe hain usko unke liye unke parwardigar ka sunna kafi hai aur bhi

Sune achchi baat hai deen ka kam hai isha'at w tableeg hai aur koie na sune tab bhi unke liye aur unki nazar me yah deen ka kaam hai kiyon ki jiske liye wah kar rahe hai wah zaroor sun raha hai aur wah na sunne se pak hai wah Allah hai jo Shahid w baseer hai aleem w kabeer hai samee'a w qadeer hai aur usi ke liye hamd hai isi liye hadeese pak me hai 

Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ne farmaya 

Deen ke mamle me ilm w samajh rakhne wala behtarin aadmi wah hai ki jab log uski jaroorat mahsoos kare uski taraf ragib ho to unhe nafa aur fayada pahunchye aur jab log uski taraf se be ragbat aur be parwah ho jaye tou wah bhi unse be parwah aur door ho jaye 

Ref ( Mishkat Kitabul ilm fasal salis safah 36 )

Aur wah jo quran e kareem mein farmaya ki Allah wale na kisi se darte hai na wah ranjeeda aur gamgeen hotey hai uska matlab yahi hai ki wah jab har kaam Allah ke liye kartey hai sawabe aakhrat aur jannat unka maqsad hai aur jab niyat sahi hai tou wah baharhal unhe hasil hai kiyon ki Allah ta'ala dhoka dene aur wada khilafi se pak hai aur raham wa karam fazal w meharbani wala hai tou wah Allah ke Alawa kisi se kiyon dare aur duniya mein kuch bhi hua kare unhen uska gam kiyon hone laga aur jab unka rab unse razee hai tou unhe kisi baat kee fikr kiyon ho is Aayat ka matlab yahi nahi hai ki wah Ma'aazAllah Allah se bhi nahi darte aur unhe aakhirat ka gam aur uski fiqr nahi hai hai Allah se tou jitna zyada dare aur jannat aur aakhirat kee jitni zyada fiqr rakhe wah utna hee bada wali hai 


♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

  

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.