hadees e pak - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

hadees e pak


KIYA SATER KHUL JANE SE WUZU TOOT JATA HAI ? 

Awaam mein jo mashahoor hai ki ghutna aur SATER apna ya paraya dekhne se WUZU jata rahta hai yah ek be-asl baat hai ghutna ya raan wagairah SATER khulne se WUZU nahin tootta ha'n bagair zaroorat SATER khula rahna mana hai aur doosron ke samne SATER kholna haram hai 

Ref ( Bahar e Sharee'at, hissa 2, safa 28 )

Lote ya gilaas ko panch unliyon se pakadne ka mas'ala 

Pani se bhare Lote ya batan ko panch unliyon se pakadne ko bura jana jata hai aur makrooh khayal kiya jata hai halanki yah ek jahilana khayal hai panch ungliyon se agar Lote ko pakad liya jaye tou usse pani mein koie khrabi nahin aatI

Ref ( Fatawa Razwiya )

Doodh peete bachche ka peshab paak hai ya na pak? 


Kuch log samajhte hain ki doodh peete bachchon ka peshab pak hai halanki aisa nahi'n insaan ka peshab mutalqan napak hai chahe wah doodh peete bachche ka ho ya badon ka 

Ref ( Fatawa Razwiya jild 2 safah 143 )

Parindon kee beet ( pakhane ) ka mas'ala 

Jo parinde uoonche nahin udte, zameen par rahte hai jaise murgi aur batakh, unki beet, ya pakhana insaan ke pakhane aur peshab kee tarah najaste galeeza yani sakht qism kee napaki hai aur jo parinde oopar udte hain unme jo halal hain unki beet paak hai jaise kabootar , fakhta , murgabi ,  maina, ghareloo chidiya,gulguchiya wagairah jo parinde haram hain kaua , cheel , shikra ,  baaz unki beet najaste khafeefa (halki napaki )hai uska wahi hukm hai jo halal janwaron ke peshab ka hai 

Ref ( Fatawa Razwiya )

Kiya bachche ko doodh plane se aurat ka wuzoo toot jata hai?


Baaz jagah jahilon me yah mashahoor ho gaya hai ki aurat agar bachche ko doodh pilae aur ba'wuzoo ho tou uska wuzoo toot jata hai yah mahaz galat hai bachche ko doodh pilana hargiz wuzoo nahin todata aur uske baad wuzoo fir se kiye bagair namaz padh sakti hai dobara wuzoo karne kee hajat nahin

Ref ( galat famiyan aur unki Islah )

Haiz wa nifas wali auraton ko manhoos samajhna 

Zachcha pan aur mahawari "mc" me auraton ke sath khane peene aur unka jhoota khane me harj nahin hindustan me jo baaz jagah unke batan alag kar diye jatey hai unke sath khane peene ko bura jana jata hai ya unke bartanon ko napak khayal kiya jata hai yah dusre jation kee Rasme hai aisi behooda rasmon se bachna zaroori hai albatta is halat me mard ka apni aurat se hambistari karna haram hai 

Ref ( Galat fahamiyan aur unki islah )

Nifas kee muddat 


Aksar auraton me yah riwaj hai ki bachcha paida hone ke baad jab tak chilla poora na ho chahe khoon aana band ho gaya ho na namaz padhe na roza rakhe aur na apney ko namaz ke laiq jane yah mahaz jahalat hai Jab nifas yani khoon aana band ho jae usi waqt se naha kar namaz shuroo kar de aur agar nahana nuqsaan kare tou tayammum karke namaz padhe yani nifas kee muddat chalees din zaroori khayal karna galatfahmi hai Jab tak khoon aae tabbhi tak aurat nifas me mani jae gi khawah chand din hee hue hon haan agar chaliye 40 din guzarne ke baad bhi khoon aana band na ho to chalis 40 din ke baad naha kar namaz padhegi aur jin dinon me us par namaz roza farz hai un dinon me shahar aur Biwi ka hambistar hona bhi jaiz hai

Ref ( Galat fahamiyan aur unki islah )



♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

  

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.