Zikre nabi - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Zikre nabi




 ZIKR E NABI 

Hamare huzoor sallalahu alaihi wasallam  noor hain

اَلحَمدُ لِلّٰہِ رَبِّ العٰلَمِین وَالصَّلوٰۃُ وَ السَّلامُ عَلیٰ حَبِیبِہٖ الکَرِیمِ وَ عَلٰی اٰلِہِ الطَّیِّبِینَ الطَّا ھِر، ینَ وَاَصحَابِہِ المُکَرَّ مِینَ وَابنِہٖ الکَرِ یمِ الغَوثِ الَا عظَمِ الجِیلَا نِی اَلبغدَادِی وَابنِہٖ الکَرِیمِ خواجہ غریب نواز الَا جمِیرِی اَجمعِینَ 
اَمَّا بَعدُ! فَاَعُوذُ بِاللہِ مِنَ الشَیطٰنِ الرَّجِیمِ
بِسمِ اللہِ الرَّ حمٰنِ الرَّ حیمِ
قَد جَآءَ کُم مِّنَ اللہِ نُور وَّ کِتٰبُُ مُّبین

Tarjama: Beshak tumahare paas allah ki taraf se ek noor aaya aur raushan kitab

Ref ( Para 6, Ruku 7, Kanzul Iman)

10 mufassereen ke aqwaal ke Aayat noor me noor se muraad huzoor hain

Hazraat ! ye Aayate  mubaraka jo mainay likhane ki sa'adat hasil ki hai usme Allah ta'ala ne saaf taur par hamare huzoor ko noor farmaya hai aur jamhoor mufassereen aur aimma akram razi allahu anho  mohaddeseen ejjam me Tasreeh farmaee hai ke noor se muraad huzoor hain or ketabe mobin se murad Quran majid hai.

(1) Sahabiye rasool mufassereen e Quran Hazrat abullah bin abbas razi Allaho anho farmate hain beshak  Aaya Tumhare paas Allah ke Taraf se  noor yani  mohmmad Sallallahu  Alaihi Wasallam.

Ref. (Tafsire ibne Abbas Page.72 )

(2) Emamul Kabir Allama Imam jafar Mohmmad bin Zarerut Tebri Razi Allaho Anho Farmate hain Tahqeeq Aaya Tumhare paas Allah ke Taraf se noor yani mohmmad Sallallahu  Alaihi Wasllam

Ref (Tabsere ibney Zareer, Tabsere wayjabi, jild,1,Page,418 )

(3) Allama Ali bin mohmmad Khazin Rahmatullah ta'ala Alaih Farmate hain Taheeq Aaye Tumhare Pass Allah ke Taraf se noor yani mohmmad Sallallahu  Alaihi Wasallam.

Ref (Tabsere Khazin, jild,1, Page,417 )

(4) Imam Allama Abdullah bin Ahmad nasfi Rahmatullah taala ayate karima ke tahat farmate hain aur  noor mohmmad sallallahu Alaihi Wasallam  hain.

Ref (Tabsere Madarik,jild,1, Page,417 )

(5) Imam Allama Fakhruddin Razi Rahmatullah Ta'ala Alaih is Aayate karima ke tahat farmate hain beshak noor se murad mohmmad sallallahu  Alaihi  Wasallam aur  ketab se murad Quran majid hai

Ref (Tabsere Kabir jild,3, Page, 395 )

(6) Hazrat allama imaam jalalludin siyuti razi allahu ta'ala anhu farmate hain 

tahqeeq ke aaya tumhare paas Allah ki rataf se noor , wah noor Nabi   
sallallahu alaihi wasallam hain 

Ref (tafseere jalalain shareef , page : 111 )

(7) aur isi tarah allama Aalusi bagdadi rahmatullah taala alaih ne ruhul maani , jild, 6 , page; 87 aur

(8) Allama ismaeel haqqi rahmatullah taala alaih ne tafseere ruhul bayaan shareef me ,jild 1 ,page 548  par

(9 )aur imaam abu muhammad bagwi rahmatullah taala alaih ne tafseere maalemut tanzeel ,jild 1 , page 23 par

(10) aur imaam qazi ayyaz rahmatullah taala alaih shefa shareef me tahreer farmate hain ki noor se murad rasool allah sallallahu alaihi wasallam hain aur kitab e mobeen se murad quran majeed hai

Hazraat |Allah taala ne quran majeed me aur taqwa taharat aur welayat w ruhaniyat wale aimma ekraam aur mohaddesin izaam ne apne aqwaal wbaayaanat se saaf taur par zahir w sabit ho gaya ke mahboob e khuda muhammad mustafa sallallahu alaihi wasallam noor hain

KHALQE AWWAL NOOR E MUSATAFA HAIN

Allah taala ne sab se pahle hamare huzoor sallalahu alaihi wasallam ke noor ko apne noor se oaida farmaya

farishta tha na Aadam the na zahir tha khuda pahle  

bane sari khudaee se muhammad mustafa pahle

aur Aashiq e mustafa sarkaar Aala hazrat razi allah anhu farmate hain

wah jo na the to kuchh bhi na tha wah jo na ho to kuchh na ho

jaan hain wah jahaan ki jaan hai to jahaan hai


♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

  

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.