BIDAT KYA HAI
BID'AT KYA HAI
Post:-03
Mazaar Shareef Ko Bosha Dena aur Tawaaf Karna
Imam Ahmed Raza Khan Muhaddise Bareily Alaihirrehma farmate hain ke Mazaar ka Tawaaf k mahez ba-niyat tazeem kiya jaaye na-jaaiz hai ke tazeem bit-Tawaaf Makhsoos khaana-E-Ka'aba hai. Mazaar Shareef ko bosa nahi dena chahiye. Ulama ka is masl'e mein Ikhtilaaf hai magar bosa dene se bachna behtar hai aur isi mein adab ziyada hai, Aastaana bosi mein harj nahi aur Aankhon se lagaana bhi jaaiz, ke is se Shara' mein mumani'at na aayi aur jis cheez ko Shara' ne mana na farmaya woh mana nahi ho sakti.
Allah ta'ala ka farmaan: ان الحکم الا الله haath baandhe ulte Paaon aana ek tarze adab hai aur jis adab se Shara' ne mana na farmaya is mein harj nahi, haa'n agar is mein apni ya doosre ki eeza ka andesha ho to is se ehtiraaz ( Bachaa ) kya jaye...
Ref ( Fatawa Razviya , Jild 4 , page , 8 , Raza Academy, Mumbai )
Rauza-e-Anwar par haazri ka Shahi Tareeqa
Imame Ahle Sunnat Imam Ahmed Raza Khan Muhaddise Bareily Alaihirrehma irshad farmate hain k khabardaar jaali shareef ( Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam k Mazaar Shareef ki Sunehri jaaliyo'n ) ko bosa dene ( Choomne ) ya haath lagaane se bacho k khilaafe adab hai balke ( jaali Shareef ) se chaar haath faasla se ziyada qareeb na Jaao, ye un ki rehmat kya kam hai ke tum ko apne Huzoor bulaya, apne Mawaajeh Aqdas mein jagah bakhshishi , un ki nigaahe karam agarche har jagah tumhaari taraf thi, ab khusoosiyat aur is darja qurb k sath hai...
Ref ( Fatawa Razviya jadeed , jild , 10 page : 765, matbu'a jame'a Nizamiya , Lahore )
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
For reading...JazakAllah Khaira
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
No comments