Shane ala hazrat - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Shane ala hazrat


SHANE ALA HAZRAT 

Ala Hazrat Zer Padhate Aur Ustaad Zabar Padhate

Ek martbah ka waqaya hai ki ala hazrat imam ahamad raza fajile barailvi razi allaho ta'ala anho bachapan ke zamane me ustaade gerami se quran majid ki ek aayat-e-karima padh rahe the ustaad mohataram baar baar zabar padhate magar alaa hazrat razi allaho ta'ala anho Zer padhate the. Us waqat aapke dada jaan qutbul waqat hazrat maulana raza ali khan razi allaho ta'ala anho maujud the aur dekh rahe the, hazrat dada jaan quran majid dekha to wakayi katib ne galati se zer ke bajaye zabar likh di thi. Dada jaan ne farmaya ke jis tarah ustaad sahab padhate the tum us tarah kyon nahi padhte the, to ala hazrat imam ahamad raza razi allaho ta'ala anho ne arz kiya, main chahta tha ki usi tarah padhu jaisa ustaade mohataram padhate hai magar jaban par kabu na tha. Dada jaan kutbul waqat ne farmaya khub aur tabssum farmakar sar par hath phera aur duaye di. Ustaade mohataram ne farmaya ke bachcha sahi padh raha tha dar-asal katib ne galat likh diya tha aur khud apne daste akadus se sahi farmadi

(Ref  Hayate Ala Hazrat, Page, 24 )

Ustaad ne kaha : Ahmad raza tum insan ho ya jinn. Ala hazrat Imam ahmad raza fazile barailvi razi allaho ta'ala anho ke khuda dad kabliyat w zehanat ka ye aalam tha ke ustaad se jo sabak padhte to ek do baar dekh kar kitab band kar dete, magar jab ustad sabak sunate to lafaz ba'lafaz suna dete. Ye halat dekh kar ustaad sakhat tajub karte. ek din ustaad mohataram ne kamarah band kiya aur kehane lage ke ahmad raza sach-sach batao ke tum insaan ho ya jinnat ? Mujhko padhane me der lagti hai aur tumhe yaad karne me der nahi lagti

(Ref Hayate Ala Hazrat, Page : 24)

Rasool Allah ﷺ ne ala hazrat ko sikhaya


Ala hazrat imam ahmad raza fazile barailvi razi allaho ta'ala anho ne hazrat maulana abdul ula rampuri rahamtullah ta'ala alah se sarha chagmini shuru ki thi ke walide majid hazrat maulana naque ali khan razi allaho ta'ala anho ne farmaya ke isme apna waqat kyo saraf karte ho. Mustafa pyare /ﷺ ke bargah se ye uloom tumko khud hi sikha diya jayenge. chunanche ala hazrat imam ahmad raza fazile barailvi razi alllaho ta'ala anho khud farmate hai ki ye sab uloom sarkare do aalam ﷺ ka karam hai. Yani mujhko sare uloom sikhane wale mere pyare aaka rasool allah ﷺ hai.
(Ref Sawane Ala Hazrat, Page, 97)

Hazraat ! Yahi wajah hai ki ala hazrat imam ahmad raza fazile bariavi razi allaho ta'ala anho ke ilam ka jawab puri duniya mil kar nahi la sakti, uski wajah saaf zahir hai ke mehboobe khuda rasool allah ﷺ ne apne mehboob ummati ahamad raza ko sikhaya aur padhaya hai. Allah ta'ala ne rasool allah ﷺ  ko taleem di aur rasool allah ﷺ  ne ala hazrat imam ahmad raza ko padhaya to allah ta'ala ke padhaye huye rasool allah ﷺ ka koi jawab nahi hai aur rasool allah  ﷺ ke sikhaye huye ala hazrat imam ahmad raza ka chaudhvi sadi me koi jawaab nahi hai. Isiliye ala hazrat khud farmate hai
Mulke Sukhan ki shahi tumko raza mussallam
Jis samat aagaye ho sikke baitha diye hai.
ala hazrat ke ilam ke shaan, bahut hi kam log hai jo naqase musallas ya murabba mashahoor kayada se bharna jante ho puri chal se naqush ki khana puri karne par to sayad do char hazraat ko uboor hasil hoga. Ala hazrat ke sagirad w khalifah hazrat maulana said mohammad jafaruddin behari rahamtullah ta'ala alaih ko ek shah shahab mile jinka khayal tha ke funne kaksheer ilam sirf mujhko hai. daurane guftagu maulana behari rahmatullah alaih ne un shah shahab se dariyafat kiya ke janaab naqashe murabba kitne tarike se bharte hai ? shah shahab ne bare fakhar ke andaz me jawaab diya ke solah (16) tarike se. phir un shah shahab ne maulana bihari rahamtullah alaih se puchha ke aap kitne tarike se bharte hai. Maulana bihar khalifah ala hazrat ne bataye ke alahamdullah main naqashe murabba ko 1152 tarike se bharta hu. shah shahab sun kar hairat me ho gaye aur pucha ke maulana aapne fanne takshir kisse sikha hai ? Maulana baihari rahamtullah alaih ne farmaya huzur purnoor ala hazrat imam ahamad raza fazile barailvi razi allaho ta'ala anho se. Shah Shahab ne dariyafat kiya ke ala hazrat razi allaho ta'ala anho naqashe murabba kitne tariko se bharte hai ? Maulan bihari rahamtullah alaih ne jawaab diya 2300 tarike se

(Ref Sawane ala hazrat, Page, 103)


♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

  

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.