Seerat ul anbiya - Maslake Aala Hazrat

Header Ads

Seerat ul anbiya


SEERAT UL ANBIYA 

HAZRAT NOOH ALAIHIS'SALAM KA WAQIA

Hazrat Nooh Alaihis'salam kee kashti samundr kee tarah Dante matey hue us pani me tairne lagi kafeer bhag-bhag kar idhar-udhar panah lene lage lekin Unhe panah kahan 
Kashti par na sawar hone walon me hazrat Nooh Alaihis'salam kee Biwi aur unka beta kan'an bhi tha poocha, ab kiya karoge ?
Bola,pahad par panah le loonga iska bhi koie fayada na hoga hazrat Nooh Alaihis'salam ne saaf-saaf bata diya Isi beech pani kee ek zordar mauj aayI aur use duba diya, wah Bach na saka hazrat Nooh Alaihis'salam ko raham aa gaya, dua mangi, khudawand !  yah beta mere haal ( ghar walon ) me se hai , too apna wada poora kar hukm hua ki ahal wah hai jiske amal bhale ho, bad-amal na-ahal hai chalees din tak zoron kee barish hoti rahi, zameen ke andar se bhi pani ubalta raha kashti par sawar logon ke Alawa insaan ,  imaratey baad, ped paudhe sab doob gaye kashti par sawar log bhi, garche Allah par iman rakhte the, unki rahmat kee ummeede rahtey they, fir bhi kabhi pareshan ho jatey ki kashti doob na jaye Unhe taskan dene ke liye hukm hua ki

BISMILLAHI MAJREHA WA MURSAHA

Jo koie padega , Allah ta'ala uski tamam mushkilon ko hal karega  baharhal kishti par sawar log Bach gaye,toofan rook gaya, pani khisak gaya jab kashti se utarne ka waqt aaya to hazrat Nooh Alaihis'salam ne kawwe se farmaya , ja aur pani kee halat maloom karke jald aa kawwa gaya lekin murdar khane ke chakkar me jaldi laut ka na aaya wah bhool gaya ki Allah ke paigambar ne kiya kaha hai Hazraat Nooh Alaihis'salam ne uske liye baddua kar dee aur wah hamesha ke liye zaleel wa rooswa hokar rah gaya murdar khana uska muqaddar ho gaya baad qabootar ko bheja gaya, wah zaitoon ke patton ko chonch me lekar wapas hua tab hazrat Nooh Alaihis'salam ne samjha ki pedon ke sar pani se bahar aa chuke hai ab kabootar ko hee pani kee khabar lane ke liye roz bheja Jane laga ek din kabootar ke pawn me kichad lagi huie payi gayi, to yaseen ho gaya ki ab azab ka daur khatm ho gaya hai kabootar ke haq me dua kee ki wah sabke liye pyar ho jae

Likha hai ki Allah ta'ala ne hukm kiya ki mai pahadi par kashti ko qarar doonga aur sab kashtiwalon ko is pahad par utaroonga aakhirkar jood pahad par kashti rooki ,  wahi sab utre aur ek gawn Aabad kar diya gaya bahut dinon ke baad yah gawn bhi waba ka shikar hokar khatm ho gaya sirf bache hazrat Nooh Alaihis'salam aur unke teen 3 bete-haam , Saam  aur yaafs fir hazrat Nooh Alaihis'salam ki nasl me Allah ta'ala ne aisi barkat rakhi ki chalees 40 wars ki muddat me hazaroon shahar aabad ho gaye fir hazrat Nooh Alaihis'salam ne seeriya , faras ke zazeere , khurasan aur Iraq ke ilaqe ka nigra Saam ko banaya aur pashchim ilaqe habsh aur sidh haam ke zimme kiye cheen,turkistan wagairah yafs ke hawale kiya ek din Jibraeel alaihis salam aur izraeel Alaihis'salam ne Hazrat Nooh Alaihis'salam se poocha ,ek lambi umr pane ke bawajood , tumne is duniya ko kaisa paya ?

Kaha, dhunye jaisa , ki ek jagah se chalkar doosri jagah se nikal aaya jab hazrat Nooh Alaihis'salam beemar hue aur usi me inteqal farmaya beton ne Aap ko baitul -maqdis me dafan kiya baap ke marne ka gam beton par bahut tha hazrat Nooh Alaihis'salam ko 'Aadam saani' shekhul anbiya aur najeeyullah bhi kahte hai wah sachche paigambar the Allah ka paigam doosron tak pahunchate aur uski ibadat me hamesha lage rahte wah din me teen 3 Sao rak'at namaz Ada kartey the kaha jata hai ki toofan ke mauqe par jab kashti me log sawar the, to kashti wale ko badboo aur gandagi se badi zabardast takleef ho rahi thi

Koie hal samajh me na aata tha hazrat Nooh Alaihis'salam ne Allah se dua kee ki is museebat ko door farma hukm hua ki tum apna hath hathi ke pet par rakho, fir hamara karishma dekho hazrat Nooh Alaihis'salam ke hath fertey hee ek su'ar paida ho gaya aur kashti kee sab gandagi ko usne khakar door kar dee Isi tarah we log choohon se bhi pareshan the Allah ke hukm se hazrat Nooh Alaihis'salam ne jyoon hee sher ke mathe par hath rakha, khuda ki shan ki billi ne nikal kar Unhe kha liya hazrat Nooh Alaihis'salam ke baad fir dheere-dheere asal rastey se hatate gaye aur gumrah hote chale gaye fir Allah ta'ala ne Hazrat hood ko paigambar bana kar bheja taki qaum me sudhar laya ja sake..

Ref ( Qanssul Anbiya pg 37,38,39,40 )


♡♤♡♤♡♤♡♤♡♤♤♡♤♡♤♡♤♡♡♡

Next post inshaAllah soon

♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧♧

♡Allah ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me
Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki
Roshni me Amal karne ki taufiq de.Aameen♡

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡

♤Allah az'wazal Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
                            For reading...JazakAllah Khaira

♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ 
اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Plz share to others also 

www.zikr-e-nabi.com

  

No comments

Zikr-E-Nabi. Powered by Blogger.